EIMAAN AUR KUFR KA BAYAAN..Mas’ala :-Agar koi Aadmi Mazboor kiyagaya ki woh(MA’AAZ ALLAH) koi kufrkahe yani woh musalmaan agar kufri baat na kahega to zaalim use maardalega ya uske badan ka koi hissa kaat dega to us Musalmaan ke liye izaazat hai ki Mazboori me woh kufri baat zabaan se bak de magar shart hai ki Dil me uskewohi imaan baqi rahe jo pahle tha,Lekin zyada acha yehi hai ki chahe jaan chali jaye magar zabaan se bhi kufribaat na bake,Mas’ala :-Amale jawaareh (yani hathpair se wagairah se kiye jane wala amal ya kaam)imaan ke andar daakhil nhihain,Albatta kuch aise kaam hain jo bilkulimaan ke khilaaf hai un kaamon kokarne wale ko kafir kaha jayega ,Jaise but, chand, ya sooraj ko sajda karne walekisi NABI ko qatl ya touheen karne wale ya Qur’aan shareef ya KA’ABE kitouheen karne wale aur kisi sunnat ko halka batane wale yaqeeni tour parkafir hain,Aise hi Zunnar (janeoo) bandhne wale,sar par choti rakhne wale aur qashqa (tikaa) lagane wale ko bhi fuqhaaekiraam ne kafir kaha hai,Aise logon ke liye hukm hai ki wohTouba karke islam layein ur fir apni biwi se nikaah karein.AQEEDA :-Deen ki zarooriyat me se jis cheez ka halaal hona nasse qataee (yani Qur’aan aur Ahadees ) se sabit ho uska haraamkahna aur jiska haraam hona yaqeeni ho use halaal batata kufr hai..Jabki yeh hukm deen ki zarooriyaat se ho aur agar munkir us deen ki zaroori baat se aagah hai to kafir hai,Mas’ala :-Usoole Aqaaid(yani buniyadi aqeedon me) kisi ki taqleed ya pairwi jaiz nhi balki jo baat ho woh qataee yaqeen ke sath ho chahe woh yaqeen kisi tarah hasil ho uske hasil karne se khas kar ilme istidalaali ki zaroorat nhi,Haan kuch farooee aqaaid me taqleed ho sakti hai is buniyaad par khud ahle sunnat me 2 giroh hain,☑MAATUREEDIYA :-Yeh giroh imaam ilmul huda HAZRAT ABOO MANSOOR MAATUREEDI RADHIYALLAHU ANHU ke pairwi karne wale hain,☑ASHAAEERA :-Yeh dusra giroh HAZRAT IMAAM SHAIKH ABUL HASAN ASH’AREE RAHMATULLAHI T’ALA ALEIHI ki pairwi karne wale hain,Aur yeh 2no jama’atein ahle sunnat ki hi jama’atein hain aur 2no haq par hain,Albatta aapas me kuch furooi baaton ka ikhtilaaf hai inka ikhtilaafHanfee,Shafaee ki tarah hai ki 2no haq par hain koi kisi ko gumrah faasiq nhi kahte hai.(Bahare shariat)
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017