Islamic Blog

HIQAYAT:-
**********
Ek Aalim Ne Ek Budiya Ko Charkha Kaathte Dekhker Farmaya Ki Badi Bi! Saari Umr Charkha Hi Kaatha Ya Kuch Apne Khuda Ki Pehchan Ki? Boodiya Ne Jawab Diya Ki Beta Sab Kuch Isi Charkhe May Dekh Liya! Farmaya, Badi Bi! Yeh To Batao Ki Khuda Maujudh Hain Ya Nahi? Boodiya Ne Jawab Diya Ki Haan! Har Ghadi Aur Raat-Din Har Waqt Khuda Maujudh Hain! Aalim Ne Pucha Magar Iski Dalil? Boodiya Boli, Dalil Mera Yeh Charkha! Aalim Ne Pucha, Yeh Kaise? Wo Boli, Wo Aise Ki Jabtak Main Is Charkhe Ko Chalati Rehti Hoon Yeh Barabar Chalta Rehta Hain Aur Jab Main Ise Chhod Deti Hoon Tab Yeh Taher Jata Hain! To Jab Is Chote Se Charkhe Ko Har Waqt Chalane Ki Zarurat Hain To Zameen Wa Aasmaan, Chand, Suraj Ke Itne Bade-Bade Charkhon Ko Kis Tarah Chalane Wale Ki Zarurat Na Hogi? Bas Isi Tarah Zameen Wa Aasmaan Ke Charkhe Ko Ek Chalane Wala Chahiye! Jabtak Wo Chalata Rahega Yeh Sab Charkhe Chalte Rahege Aur Jab Wo Chhod Dega To Yeh Taher Jayege! Magar Humne Kabhi Zameen Wa Aasmaan, Chand Suraj Ko Tehre Nahi Dekha To Jaan Liya Ki Unka Chalane Wala Har Ghadi Maujudh Hain!
Maulwi Sahab Ne Sawal Kiya Ki Aasmaan Wa Zameen Ka Charkha Chalane Wala Ek Hain Ya 2? Boodiya Ne Jawab Diya, Ki Ek Hain! Daawe Ki Dalil Bhi Yahi Mera Charkha Hain! Kyonki Jab Is Charkhe Ko Apni Marzi Se Ek Taraf Chalati Hoon Yeh Charkha Meri Marzi Se Ek Hi Taraf Chalta Hain Aur Agar Koi Dusri Chalane Wali Bhi Hoti To Yeh Meri Madadgar Hoker Meri Marzi Ke Mutabiq Charkha Chalati! Tab To Charkhe Ki Raftar Tez Hojati Aur Is Charkhe Ki Raftar May Fark Aaker Natija Haasil Na Hota! Agar Wo Meri Marzi Ke Khilaaf Aur Mere Chalane Ki Mukhalif Zehat Per Chalati To Charkha Chalne Se Taher Jata Ya Tut Jata! Magar Aisa Nahi Hota! Is Wajahse Ki Dusri Chalane Wali Nahi Hain! Isi Tarah Aasmaan Wa Zameen Ka Chalane Wala Agar Koi Dusra Hota To Zaroor Aasmaani Charkhe Ki Raftar Tez Hoker Din-Raat Ke Nizaam May Fark Aajata Ya Chalne Se Taher Jata Ya Tut Jata! Jab Aisa Nahi Hain To Zaroor Aasmaan Wa Zameen Ke Charkhe Ko Chalane Wala Ek Hi Hain!

(Siratus-Saaliheen Pg-3)

*********************************
SABAK:
*******
Duniya Ki Har Chiz Apne Khaliq Ke Wajudh Aur Uski Yaktaayi Per Shaheed Hain! Magar Akl-A-Salim Darkaar Hain!

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)