Heart touching story:::
Ek Ameer Baap Ki Intehaayi
Khoobsoorat Beti
Apni Chachi (Aunty) Ke Ghar Ja rahi Thi
Jo
Uske Ghar se Kuch Hi doori Par Tha
Achaanak Shaher Me Fasaad (riot)
Barpa ho
gaya
Us ladki ne Aadhi Raasta Muqammal Kar
li Thi,
Use Apni Jaan Aur IzZat Par Khatra
La’haq Hua
Usne Ird Gird Dekha,
Use Ek Masjid Dikhaayi Di, Wo masjid Me
Gayi
Aur Aurton Ki Makhsoos Jagah Me
Jaakar
Baith Gayi…
Fasaad (Riot) Der Raat Tak Jaari Raha,
Use
samJh me Nahin aa Raha tha Ke use Kya
Karna Hai..
Us masjid Ka Muta’walli Ek Intehaayi
Naujawaan Ladka Tha Jo taalba
(student) Bhi
Tha,
Deir Raat Masjid Me taala (lock)
Lagaane Se
Pahle Uski Nigaah Us ladki Par Padi
Woh Ek Nau’jawaan Aur Allah Se
Darrne Waala
Ladka tha
Usne Bade Ehteraam Se Us ladki Se
kaha Ki
” Agar Wo dono Yahan Paaye Gaye Toh
Dono
Ko Be’izzat kiya jaayega Aur Baaher
Fenk diya
jaayega”
Us ladki Ne Ilteja (request) Ki ke Aaj Ki
Raat
Use Yahin Rahne Diya jaaye Kyonki
Baaher
Jaan Aur Izzat ka Khatra Tha,
Is tarah Dono Me ittefaaq Ke saath
Ladke Ne
Uski Ilteja Ko Qabool kar liya Aur Dono
Masjid
Ke Opposite Hisse Me Padhne Ke Liye
chale
Gaye…
Din Ke Waaqeye Ko dekhkar Ladki Ko
Neend
NahIn Aa rahi thi
Toh Woh Ladki Us Ladke Ko Dekhne
Lagi Jo
Masjid Ke aakhiri Hisse Me Mombatti
(candle)
Ki Roshni Me padhaayi Kar raha Tha
Us Ladki Ko Uski Ek Baat Dekhkar Bada
Tajjub
hua..
Kyonki Wo Ladka Kabhi Kabhi Apna
Haath Us
mombatti Ki Lau Se lagaa Raha tha…
Aur Tab tak lagaaye Rahta Jabtak Uski
Quwaat
Jawaab Nahin De jaati…
Phir Wah Padhne Lagta… Phir Kuch der
Baad
Aisa hi Amal karta
Is dauraan Subah ka Waqt HO gaya Aur
Us
Ladke Ne Azaan Di Aur us ladki Se kaha
Ki
“Aap Namaz hone Se pahle Ja sakti ho,
Baaher
Ke Haalaat Pahle se Bahtar Hain”
Wo Maan Gayi Aur Usne Us ladke se
poocha
” Aap Raat Ko Apna Haath Mombatti Ki
lau Se
Kyon laga rahe they ???”
Ladke Ne Kaha-
” Aapko Is baat Se Kya Matlab Ye Mera
Kaam
hai”
Ladki Ne jaane Se Mana kar diya Jab Tak
Wah
Use Is baat Ka Jawab Nahin de deta..
Ladke Ne Kaha
” Main Ek Naujawaan Hoon Aur Mere
Andar
Khwaahishaat ki Quwwat (Sexual
Desire) hai,
Ham Dono Akele They Aur Meri
Khwaahishaat
Me Izaafa Ho Raha Tha,
Mujhe Darr Tha Ki kahin Shaitaan Ham
Dono
Me fitna Na daal De
Lihaaza Jab bhi Main Koi Fitna Mahsoos
Karta
Tab Tab Main Apna Haath Mombatti ki
Sholon
Me Laga deta Aur Apni Ungaliyan Jalne
Par
Main apne Aapse Kahta Ki Ye Aag
Jahannum Ki
Aag Ke Muqaable Kuch Bhi Nahi Hai”
Ladki Masjid se baaher Nikli Aur Apne
Ghar ki
Tarah Jaane Lagi
Usne Ghar Me Apne Waalidain Se Din
Aur Raat
Ke Saare Waaqeyaat Bata diye
Aur Ye bhi
Bataya Wo Kaise Mahfooz rahi…
Usne Apni Maa Se Bataya Ki woh Us
Masjid Ke
muta’walli Se shaadi Karna Chaahti
Hai…
Usne Raat Ka Waaqeya Apne Waalidain
Se
bataya aur Kaha
Sirf Is tarah Ka Aadmi Jiske Dil me Allah
Ka
Haqeeqi khauff Ho Wahi aadmi Apni Biwi
Ke
liye Durust Ho sakta hai
Sirf Is Tarah Ka Aadmi Jiske Dil Me Allah
Ka
Haqeeqi Khauff Ho Wahi Apni Biwi Ke
Huqooq
Poore Kar sakta Hai
Is tarah Us Ameer Ladki Ki Shaadi Us
Ghareeb
Ladke Se Ho Gayi
Us ladke Ko ye Aijaz Uski shakl O Soorat
Ko
dekh kar Nahin Balke Uski seerat Ko
Dekh kar
mila
Har Cheez khaak Me Mil Sakti Hain lekin
Seerat
(character) hamesha Mazboot rahta Hai
Rutba (honor) Kabhi bhi Acchi Soorat,
Kapde
aur Gahne (jewellery) Se Nahin Milta
Balke Dil Paakeezagi ko dekh kar Se
Milta ha
Subhan ALLAH.
Jazak ALLAH.
Ya Allah! Hame Siraat-e-Mustaqeem Pr Chala.
Aameen Summa Aameen.
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017