Islamic Blog

HIQAYAT:-
**********
Ansaar-A-Madina Ki Ek Aurat Ka Baap Aur Shoher Aur Bhai Teeno Jung-A-Uhadh May Shaheed Hogaye! Wo Aurat Ladayi Ke Haalaat Malum Karte Hue Jab Maidaan-A-Jung May Pahuchi Aur Use Malum Hua Ki Uska Baap, Shoher Aur Bhai Teeno Shaheed Hogaye Hain, To Us Afifa Ne Yeh Sab Sunker Kaha To Yeh Kaha-

“Yeh To Batlao Ki Kaise Hain Shahenshah-A-Umam?”

Yani Wo Kehne Lagi Ki Mujhe Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHi-WASALLAM Ka Haal Batao Ki Wo To Khairiyat Se Hain Na?
Logon Ne Bataya Ki Huzoor Ba-Khairiyat Hain To Wo Khush Hoker Huzoor Ki Bargah May Haazir Hui, Badke Usne Rukh-A-Roshan Ko Dekha To Kaha,

“Tu Salamat Hain To Sab Hetch Hain Yeh Ranj Wa Alam, Main Bhi Aur Baap Bhi, Shoher Bhi, Biradar Bhi Fida,
Aye Shah-A-Deen Tere Hue-Hue Kya Chiz Hain Hum!”

Yani Ya Rasoolallah! (SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM) Mere Maa-Baap, Shoher, Bhai Wagaira Sab Tere Naam Per Qurbaan! Aap Salamat Hain To Mujhe Kisi Judai Ka Gham Nahi!

(Taarikh-Ai-Islaam Pg-172)
************************
SABAK:-
********
Sahaba-A-Kiraam Radi-Allahu-Ta’aala-Anhum Ke Dilon May Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Kuch Aisi Mohabbat Thi Ki Un Pak Logon Ki Pak Auratain Bhi Mohabbat-A-Rasool Ke Saamne Duniya Ke Rishton Ko Kuch Nahi Samajhti Thi!
Fir Aaj Jo Mard Bhi Mohabbat-A-Rasool Ko Nazar Andaaz Karke Rishtedariyon Ko Malhooz Rakhe Aur Shari-at-A-Mustafiya Ki Parwa Na Kare, Kis-Qadr Badh-Nasib Aur Na-Aakibat Andesh Hain!
************************

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm