Islamic Blog

Ek Bohot Nek Aur Parhezgaar Aurat rehti thi..
Usne Apne 6 saal k masum Bacche ki
bohot Achi Tarbiyat ki thi.
Usko sikhaya tha k,
Dene wali Zaat sirff Allah ki Hai
Aur
Namaz Se Allah ki madad hassil kro..
Ek Din Dophar me uska beta school se ghar aaya…
Mizan : Assalamaualikum Ammijan 
Maa : walekumasslam Beta  
Mizan : Ammijan mujhe bohot zor ki bhook lagg rhi hai,
Jaldi se khana dijiye na 
Maa : mizan beta,
maine aapko kitni baar samjhaya hai k,
Hum Musalman hai
Aur Musalmaan Makhlooq se nahi
Allah se maange hai 
Agar aapko khana chahiye tho
jao wuzu kro,
Zohar ki Namaz
ada kro Aur Allah se khana maango 
In sha Allah
Allah Zaroor khana dege  
Mizan : Ji Ammijan..(kehte hue mizan muskurata hua andar gya wuzu kiya Aur Jahanamz bicha kr…
Namaz ada krne laga..
itne me maa kitchen me gayi khana banaya aur Andar Room me dastar pe lagakr hall me aagayi…
Yaha Hall me mizaan apne chote chote masoom haatho se Allah se Dua kr rha tha k,
Ya Allah
Mujhe bohot zor ki bhook lagg rhi hai ji..
Plz ap khana de dijiye…
Dua krte krte uske Aankho se Aansu bhi aarahe thy..
Ye saara Manzar dekh uski
Maa k Aankho me bhi Aansu
aagaye….Uski Maa ne piche se Aawaz di,
)
Maa : Beta Mizan,
Aajao Allah ne khana bhej diya hai
Aapki Dua Qabool hui  
Mizan(wipes his Tears & Smiles) :
Sacchiii  
Ammijan kaha hai khana ?
Ammi : Jao Room me hai khana
(mizan Room k andar aaya dekha Dastar laga hua hai,
khush hua Aur Bismillah bolkr khana shuru kr diya..
Abb ye uska Rozana ki Aadat bann thi…wo school se aata Namaz ada krta
Aur Allah se khana maangta yaha uske Ammi… uss Room me dastar lagwa detey..)
Bacche ka Imaan bann gya tha k,
Allah hi khana detey 
Lekin Ek Din bacche k Ammi kisi Ristedaar k ghar chale gaye thy..
Unhe waqt ka khayal naa rha
Jaise ghadi dekhi..
Unko khayal aaya k Bacche ki
school chutne ka waqt hai,
wo Bechaain hogyi
wo Allah se Dua krte hue jaldi jaldi ghar ki taraf aane nikle
unhe maalum tha k,
Baccha school se ghar aatey hi,
Namaz ada krega Aur Allah se khana mangega
Aur Agar Aaj usko Wo Room
me khana nai milega tho
uska Bharosa Allah ki Zaat se uthh jaiyega
Bechari maa ne bohot mehnat se apne baccha ka Yakin banaya tha k,
Deni wali Zaat sirff o sirff Allah ki hai
usne Dono haath Aasman ki Taraf uthaye aur Rootey hue Dua krne lagi k,
Yaa Elahi
Ya Mere Allah,
Aaj Maa ki Muhabbat ka masla nahi……..Aaj Masla Teri Zaat k Yakeen ka hai ;( ;(
Aaj Sawal mere betey k Imaan
ka hai
Allah Aaj agar mere bacche ko
khana Naa mila to uska Teri Zaat
se Yakeen uthh jaiyega
Rote hue Dua krti
Maa Daudi hui ghar Aayi,
Darwaza khola tho Dekha Beta Bistar pe Aaram kr rha hai  
Maa ne apne betey ko goudd me utha liya
muhabbat k saath Seene se
lagaya
maa ka kaleja bhar aaya kaha,
Ammi : Beta,
Aap Din din bhar se bhooka hoge na ?
Mai abhi khana bana deti hu
Mizan(shoked)
Ammijan aap kwnsi bhook ki baat krti ho aap
Alhandulilaah 
Maine tho khana kha liya 
Ammi : Beta maine pakayi nai
phr tune kahase le liya khana 
Mizan(badi masumiyat se) :
Ammijan,
Jaha se rozana leta waha
se liya khana
Lekin Aaj Allah ne khoob khilaye
Ammijan aapko kya batau
6 saal hogye mujhe khana khate hue
kbhi mujhe itna maza nai
aaya jitna aaj ka khana
khate hue aaya,,,
Ammijan khane me na ji,
Biryaani thi sharbat tha mewe thy,
Aur itna sb kuch tha na
mai bata nai skta
Alhamdulilaah 
Aaj mere Allah ne bohot khilaya mujhe
Ye dekho mere haatho se
abhi bhi khane ki khusbu
Aarahi hai 
uske Ammi ne uske haatho ki khusbu suni
itni achi khusbu unhone
zindagi me kbhi nai suni
thi…
Unhone uss Room me jaakr dekha
wo Room me Noor sa aagaya tha
aur wo Room bhi khusbu se mahek rha tha…wo Nek Aur Deendar Aurat thi samaj gyi k,
Allah ki Tarah se jannat Dastar utra tha uske ghar fauran sajde me gir gyi Aur Allah ka shukr Ada kiya k,
Allah ne uski Dua Qabool krli
Aur uske betey k Imaan ki
Hifazat ki…
Wo jaanti thi k,
Allah Kamaal e Kudrat
Aur
Kamaal e Hikmat ke
maalik hai
wo Deney wale hai
Jisse chache
Jb chahye

Jo chahey de de

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm