Islamic Blog

HADEES
*********
Hazrat Musa Alaihi Salam Ke Zamane May Ek
Shaks Aisa Tha Jo Apni Tauba Per Kabhi Kayam
Nahi Rehta Tha, Jab Bhi Wo Tauba Karta Use Tod
Deta! Yahan Tak Ki Use Is Haal May 20 Saal Guzar
Gaye!
ALLAH-TA’AALA Ne Hazrat Musa Alaihi Salam Ki
Taraf “WAHI” Ki, Mere Us Bande Ko Kehdo, Main
Tujhse Sakht Naraaz Hoon! Jab Hazrat Musa Alaihi
Salam Ne Us Aadmi Ko ALLAH Ka Paighaam Diya
To Bahoat Ghamgeen Hua Aur Jangalon Ki Taraf
Nikal Gaya, Wahan Jaker ALLAH-TA’AALA Ke
Darbar May Arz Kiya,
Aye Rabbe Juljalaal! Teri Rehmat Jati Rahi Ya
Mere Gunahon Ne Tujhe Dukh Diya? Teri Bakshish
Ke Khazane Khatm Hogaye Ya Bandon Per Teri
Nigah-A-Karam Nahi Rahi? Tere Muafi Wa Dar-
Guzar Se Kaunsa Gunah Bada Hain? Tu Karim
Hain, Main Bakhil Hoon! Kya Mera Bukhl Tere
Karam Per Gaalib Aagaya Hain? Agar Tune Apne
Bandon Ko Apni Rehmat Se Mehroom Kerdiya To
Wo Kis Ke Darwaze Per Jayege? Agar Tune Uneh
Darbaar Se Nikaal Diya To Wo Kahan Jayege? Aye
Rabbe Qadir Wa Kahhaar! Agar Teri Bakshish Jati
Rahi Aur Mere Liye Ajaab Hi Reh Gaya Hain To
Tamaam Gunahgaron Ka Ajaab Mujhe De De, Main
Unper Apni Jaan Qurbaan Karta Hoon!
ALLAH-TA’AALA Ne Musa Alaihi Salam Se
Farmaya, Jao Aur Mere Bande Se Kehdo Ki Tune
Mere Kamaal-A-Qudrat Aur Afwa Wa Dar-Guzar Ki
Haqiqat Ko Samajh Liya Hain! Agar Tere Gunahon
Se Zameen Bhar Jaye Tab Bhi Main Baksh Duga!
“ALLAHU-AKBAR”
(Mukashfatul Kulub, Pg-128)

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm