Islamic Blog

HADEES:-
*********
Hazrat Musa Alaihi Salam Ke Zamane May Ek Shaks Aisa Tha Jo Apni Tauba Per Kabhi Kayam Nahi Rehta Tha, Jab Bhi Wo Tauba Karta Use Tod Deta! Yahan Tak Ki Use Is Haal May 20 Saal Guzar Gaye!
ALLAH-TA’AALA Ne Hazrat Musa Alaihi Salam Ki Taraf “WAHI” Ki, Mere Us Bande Ko Kehdo, Main Tujhse Sakht Naraaz Hoon! Jab Hazrat Musa Alaihi Salam Ne Us Aadmi Ko ALLAH Ka Paighaam Diya To Bahoat Ghamgeen Hua Aur Jangalon Ki Taraf Nikal Gaya, Wahan Jaker ALLAH-TA’AALA Ke Darbar May Arz Kiya,
Aye Rabbe Juljalaal! Teri Rehmat Jati Rahi Ya Mere Gunahon Ne Tujhe Dukh Diya? Teri Bakshish Ke Khazane Khatm Hogaye Ya Bandon Per Teri Nigah-A-Karam Nahi Rahi? Tere Muafi Wa Dar-Guzar Se Kaunsa Gunah Bada Hain? Tu Karim Hain, Main Bakhil Hoon! Kya Mera Bukhl Tere Karam Per Gaalib Aagaya Hain? Agar Tune Apne Bandon Ko Apni Rehmat Se Mehroom Kerdiya To Wo Kis Ke Darwaze Per Jayege? Agar Tune Uneh Darbaar Se Nikaal Diya To Wo Kahan Jayege? Aye Rabbe Qadir Wa Kahhaar! Agar Teri Bakshish Jati Rahi Aur Mere Liye Ajaab Hi Reh Gaya Hain To Tamaam Gunahgaron Ka Ajaab Mujhe De De, Main Unper Apni Jaan Qurbaan Karta Hoon!
ALLAH-TA’AALA Ne Musa Alaihi Salam Se Farmaya, Jao Aur Mere Bande Se Kehdo Ki Tune Mere Kamaal-A-Qudrat Aur Afwa Wa Dar-Guzar Ki Haqiqat Ko Samajh Liya Hain! Agar Tere Gunahon Se Zameen Bhar Jaye Tab Bhi Main Baksh Duga!

“ALLAHU-AKBAR”

(Mukashfatul Kulub, Pg-128)

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm