Ek bar Saiyeduna Musa Alaihissalam jungle
me zikr krte hue ja rahe the ki unhe khayal
hua ki is jungle me shayad mere siwa koi
aurALLAH ka zikr nahi krta hoga.ALLAH ne
jungle ke charindo, parindo ko hukm dia ki
hamare zikr ki Awaz buland karo.
.
.
To is qadar Zikrullah ka shor hua ki hazrat
musa alaihissalam sajde me gir gaye aur arz
ki,Ya ALLAH!! Kya zamin ke niche bhi tera zikr
hota hai?
ALLAH ta’ala ka hukm hua ki, “Apna aasa
zamin par maro.
“Jab hazrat musa alaihissalam ne asa zamin
par mara to zamin shak ho gayi aur pani zor
marta hua nazar aane laga.
Phir ALLAH ka hukm hua,
“Is par bhi asa maro
“H musa alaihissalam ne pani par asa mara
to ek siyah patthar namudar hua,
phir hukm hua ki is par bhi asa maro.
H Musa alaihissalam ne us patthar par asa
mara to patthar shak hua aur ander se ek
sabz janwar nikla jo ALLAH ka zikr kr raha
tha.
Hazrat musa alaihissalam ne usse pucha,”Teri
paidaish ko kitna zamana hua?
“Us janwar ne kaha 300 baras.
Hazrat musa alaihissalam ne phir pucha,
“Tera kam kya hai?
“,,,,usne kaha, ALLAH ke zikr se behtar koun
sa kam hai?
,,,Ae musa alaihissalam! Mujhe din me do
bar pani diya jata hai magar mai is khouf se
nahi pita ki kahi aisa na ho ki mai pani me
muh dalu aur mout ka farishta aa jaye….
ye keh kar ander gayab ho gaya aur patthar
pani ke niche chala gaya. Phir zamin barabar
ho gayi.
( Anisul wa’aezeen)
beshak har chiz ALLAH ka zikr krti hai,,,
“Ae gafil Insan,,,Apne RAB ko yaad kar
.
.
dil ki ujdi basti aabad kar
.
.
ALLAH hi ki yad me dil ka chain hai
.
.
SALLALLAHU ALANNABIYIL UMMI WA ALIHI
WA BAARIK WA SALLIM
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022