Islamic Blog

Agar Koi Shaks Kahe Ki Jab Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ko Yeh Qudrat Haasil Thi Ki Hazrat Muaaz Bin Afra Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ka Kata Hua Hath Aapne Joad Diya Aur Hazrat Habib Bin Yasaaf Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ke Katker Latke Hue Moande Ko Aapne Sahi Kerdiya To Fir Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Zaahiri Zindagi May Lashker-A-Islam Ke Kisi Ek Sipahi Ko Bhi Zakhmi Hoker Shaheed Nahi Hona Chahiye Tha!

To Is Ehteraaz Ka Jawab Yeh Hain Ki Irshad-A-Khudawandi Hain Yani Unko Maut Aayegi To Ek Saa-at (Ghadi) Aage-Piche Nahi Hogi!
(Para-11, Ruku-10)

Aur Irshad Farmaya Yani ALLAH-TA’AALA Kisi Jaan Ki Maut Ko Hargiz Mu-akkhar (Late,Daer) Nahi Farmayega Jabki Uska Waqt Aajayega!
(Para-28, Ruku-14)

To Jab Rehmat-A-Aalam SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Jaante Hain Ki Us Zakhmi Ki Shahadat Ka Waqt Abhi Nahi Aya Hain To Aap Uske Baare May Tasarruf Wa Ikhtiyar Farmate Aur Jab Jaan Lete Ki Uski Duniyawi Zindagi Khatm Hogayi Hain To Uske Baare May Aap Kuch Na Karte!

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm