HIQAYAT🌺
***********
🌼Madina Munavwara May Ek Hashmi Aurat Rehti Thi! Use Baaz Log Iza (Taklif) Diya Karte The! Ek Din Wo Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Roza-A-Anwar Per Haazir Hui! Arz Karne Lagi, Ya Rasoolallah! SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Yeh Log Mujhe Iza Dete Hain! Roza-A-Anwar Se Awaaz Aayi-
🌹“Kya Mera Uswa-A-Hasna Tumahre Saamne Nahi! Dushmano Ne Mujhe Izayen Di Aur Maine Sabr Kiya! Meri Tarah Tum Bhi Sabr Karo!”
🌹
🌼Wo Aurat Farmati Hain Ki Mujhe Badi Taskin Hui Aur Kuch Din Ke Baad Mujhe Iza Dene Wale Bhi Margaye!
(Shawahidul-Haq, Pg-165)
*******************
🌷SABAK
🌷
*********
Hamare Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Sabki Sunte Hain Aur Har Mazlum Keliye Aap Hi Ka Der-Ja-A-Panah Hain! Ya Rasoolallah Kehne Se Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAiHI-WASALLAM Ki Janib Se Rehmat Wa Taskin Haasil Hoti Hain!
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022