Islamic Blog

HIQAYAT:-
*********
Hazrat Maalik Bin Dinaar Rehmatullah Ta’aala Alaihi Kehte Hain Ki Maine Macca Moazzama May Ek Khatoon Ko Dekha, Jinki Aankhen Nihayat Khubsurat Thi! Macca Sharif Ki Auratain Uneh Dekhne Keliye Aati Thi! Yeh Haal Dekhker Wo Nek Dil Khatoon Rone Lagi! Unse Kaha Gaya Ki Aap Is Qadr Royegi To Aankhen Kharaab Hojayegi! Farmane Lagi, Agar Mera Shumaar Ahle-Jannat May Hain To ALLAH Isse Behter Aankhen Ata Farma Dega! Aur Khuda-Na-Khwasta Jannat Ke Layik Na Hui To Aankhon Ko Bhi Sakht Azaab Hoga! Itna Kehker Wo Khatoon Fir Rone Lagi Aur Zindagi Bhar Yahi Kaifiyat Taari Rahi Aur Khauf-A-Khuda Se Ro-Roker Unki Aankhen Bekaar Hogayi!

********************************
SABAK:-
*******
Apne Jaahiri Husn Wa Jamaal Per Naaz Na Karna Chahiye! Balki Husn Wa Jamaal Ata Farmane Wale Ki Yaad May Rehna Chahiye Aur Apni Aakhirat Ko Peshe-Nazar Rakhker Khuda Ki Rehmat Ki Ummid Ke Sath-Sath Uske Gazab Wa Jalaal Se Darte Bhi Rehna Chahiye!
Jahaan Pani Jaari Ho Wahan Phool Khilte Hain, Aur Jahan Khuaf-A-Khuda Se Aankhon Se Aansuon Ka Pani Jaari Ho Wahan Rehmat Ke Phool Khilte Hain!
Magar Afsos Ki Aajkal Un Aankhon Se Cinema Telivision Aur Gair Muhrim Auraton Ko Dekhne Ka Kaam Liya Jata Hain! Khauf-A-Khuda Se Rone Ka Kaam Unse Nahi Liya Jata!

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm