Islamic Blog

HADEES:-
*********
ALLAH-TA’AALA Ke Ek Nabi Ka Aise Patther Se Guzar Hua Jo Khud To Chota Tha Magar Usse Pani Bahoat Nikal Raha Tha, ALLAH-TA’AALA Ke Nabi Ko Bahoat Taajjub Hua, ALLAH-TA’AALA Ne Patther Ko Bolne Ki Takat Ata Kerdi Aur Usne Kaha Jabse Maine ALLAH-TA’AALA Ka Yeh Farmaan Suna Hain Ki-“Insaan Aur Patther Jahannam Ka Indhan Hoge!”Main Barabar ALLAH Ke Khauf Se Ro Raha Hoon!ALLAH Ke Nabi Ne ALLAH Se Dua Maangi Ki Is Patther Ko Jahannam Ki Aag Se Bacha Le! ALLAH-TA’AALA Ne Dua Kabul Farma Li!Kuch Muddat Guzarne Ke Baad Unka Fir Usi Taraf Jana Hua, Dekha To Patther Barabar Roye Ja Raha Hain! Unohne Pucha, Ab Kyon Roye Ja Raha Hain? Patther Ne Jawab Diya Us Waqt Khauf Ki Wajah Se Ro Raha Tha Aur Ab Khushi Aur Musarrat May Ro Raha Hoon!

(Mukashfatul Kulub, Pg-275)

********************************
SABAK:-
********
Yeh Hadees Is Baat Per Dalalat Kerti Hain Ki Insaan Kabhi Bhi Bargah-A-Rabbul-Izzat May Rona Bandh Na Kare Aur Is Raaz Ki Taraf Yeh Bhi Ishara Karti Hain Ki Insaan Ka Dil Bhi Patther Ki Tarah Ya Usse Bhi Zyada Sakht Hain, Uski Sakhti Khauf Aur Shukr Dono Haalaton May Girya Wa Jaari Karne Se Khatm Hoti Hain!

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm