Islamic Blog

HIQAYAT:-
***********
Ek Bujurg Sayyad Sahab Ke Paas Kuch Ulma, Jo Apne-Apne Fhan May Maahir The, Haazir Hue! Unki Garz Un Sayyad Sahab Ka Imtehaan Lena Tha! Kyonki Mashoor Tha Ki Sayyad Sahab Ne Kabhi Kisise Padha Nahi! Yeh Ulma Aapko Pareshan Karne Ki Garz Se Jama Hue The! Garz Unohne Aapse Mukhtalif Fhunoos Se Kuch Sawal Kiye! Sayyad Sahab Kabhi Dahini Taraf Dekhker Jawab Dete The, To Kabhi Bayin Taraf! Jab Ulma Chale Gaye To Kisine Pucha Ki Aap Dayen-Bayen Dekhker Kyon Jawab Dete The? Farmaya, Jab Yeh Ulma Aaye To Maine Haq-Ta’aala Se Dua Ki, Aye ALLAH! Meri Laaj Rakhle! ALLAH-TA’AALA Ne Abu Hanifa Ki Rooh Ko Meri Dahini Taraf Aur Shaikh Bu-Ali Seena Ki Rooh Ko Meri Bayin Taraf Haazir Kerdiya! Jab Ulma Mankulaat Ka Sawal Karte To Main Hazrat Abu Hanifa Se Daryaft Karke Jawab De Deta Tha, Aur Jab Maakulaat Ka Sawal Karte To Shaikh Bu-Ali Seena Se Daryaft Karke Jawab Deta!

(Risala Al-Abqa)

*********************************
SABAK:-
********
ALLAH Wale Musibat Ke Waqt Madad Farmate Hain, Fir Jo Saare Nabiyon Wa Waliyon Ke Sardar Huzoor SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Hain Unka Madad Farmana Yun Saabit Na Hua?

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm