Islamic Blog

Samarqand mein ek Bewa syed-zadi rehti thi aur uske kuch bachche bhi thy,

Ek din wo apne bhuke bachchon ko le kar ek ameer aadmi ke paas pahunchi aur kaha “Main Saiyyad-Zadi hu, mere bachche bhuke hain inhe khana khilao”

Wo ameer aadmi jo daulat ke nashe mein choor aur sirf naam ka musalman tha, kehne laga “Agar tum sach mein Syed-Zadi ho to koi Daleel (proof) pesh karo”

Syed-Zadi ne kaha “Main ek ghareeb bewa hu, zubaan par aitbaar kar lo ki Syed-zadi hu aur daleel kya pesh karu?”

Ameer admi bola “Main zubaani jama, kharch ka khayal nahi, agar koi daleel hai to pesh karo warna jao”

Wo Syed-zadi khatoon apne bachchon ko le kar wapas chali aayi aur ek majoosi ameer aadmi ke paas pahunchi aur apna qissa bayaan kiya, (majoosi= non-muslim jo aag ki pooja karte hain)

Wo majoosi bola “Mohtarma ! Agar se main musalman nahi hu magar Saiyyad hone ki wajah se tumhari tazeem karta hu, aao aur mere yaha hi thehro, main tumhare khaane-peene waghaira ka zaamin hu”

Ye kaha aur un khatoon ko apne yaha thehra kar unhe aur unke bachchon ko khana khilaya aur unki badi khidmat ki,

Raat hui to wo naam ka musalman ameer soya to usne khwaab mein Rasoolallah (sallallaahu alaihi wasallam) ko dekha jo ek bahut bade noorani mahal (palace) ke paas hain,

Us ameer aadmi ne pucha “ya Rasoolallah (sallallaahu alaihi wasallam) ye noorani mahel kis ke liye hai?”

Rasoolallah (sallallaahu alaihi wasallam) ne farmaya “musalman ke liye”

Wo bola “Huzur (sallallaahu alaihi wasallam) main bhi musalman hu, ye mahel mujhe ataa farma dijiye”

Rasoolallah (sallallaahu alaihi wasallam) ne farmaya “agar tu musalman hai to apne islaam ki koi daleel pesh karo!”

Wo ameer Ye sun kar bahut ghabraya,
Huzur ne fir usse farmaya “meri beti tumhare paas aaye to tu usse saiyyad hone ki daleel maange aur khud bina daleel pesh kiye is mahel mein chala jaaye, Naa Mumkin hai”

Ye sun kar uski aankh khul gayi aur wo bahot roya,

Fir wo us syed-zadi khatoon ki talaash mein nikla to pata chala ki falaa majoosi ke ghar me thehri hai,

Wo us majoosi ke paas pahuncha aur kaha “hazaar rupye le lo aur un syed-zadi khatoon ko mere supurd kar do”

Majoosi bola “kya main wo noorani mahel hazaar rupye me bech du?
Namumkin hai,
Sun lo ! Huzur (sallallaahu alaihi wasallam) jo tumhe khwab mein mil kar us mahel se door kar gaye hain, wo mujhe bhi khwaab mein mil kar aur kalma padha kar us noorani mahel mein daakhil farma gaye, ab main bhi biwi-bachchon samet musalman hu aur mujhe Huzoor basharat de gaye hain ki Tu ahl-o-ayaal samet jannati hai”

(Nuzhat-ul-Majalis)

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)