Islamic Blog

NOTE: NAMAZ KE 7 FARAIZ
1.TAQBEER TAHREEMA 2.QAYAM 3.QIRAAT 4.RUKU 5.SAJDA 6.QA’ADA 7.KHURUJE BISUNEHI YANI QA’ADA AKHIRAA
QIYAAM
————-
Agar kuch dair bhi khade ho sakte hai agarche itna hi ke khade hokar ALLAHU AKBAR kaih le to farz hai ke khada hokar itna kaih le fir baith jaye.
TAMBIHE ZARURI
—————————-
Aaaj kal umooman ye baat dekhi jati hai ke jaha zara sa bukhaar aya ya khafif se taqleef hue baithkar namaz shuru kar di halanki wahi log usi halat me 10-10 15-15 Minutes balki ziyadah khade hokar idhar udhar ki bate kar liya karte hai.unko chahiye ke in masail jo maine likhe hai wo sab padhe aur agah ho aur jitni namaze bawajood kudrate kiyaam baithkar pdhi ho unka laotana farz hai. yuhi agar waise khada na ho sakta tha magar lathi ya diwaar ya admi ke sahare se khada hona mumkin tha to wo namaze bhi na hue unka ferna farz hai.
ALLAH TA`ALA taofiq ata farmaye
(BAHARE SHARYAT HISSA 3 PAGE NO 61)

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)