Islamic Blog

NOTE:NAMAZ KE 7 FARAIZ
1.TAQBEER TAHREEMA 2.QAYAM 3.QIRAAT 4.RUKU 5.SAJDA 6.QA’ADA 7.KHURUJE BISUNEHI YANI QA’ADA AKHIRAA
QIYAAM
————
MASLA
———-
Jis shaks ko khade hone se katra ata hai ya zakhm baihta hai aur baithne se nahi to use farz hai ke baithkar padhe agar aur taor per us ki rok na kar sake.yu hi khada hone se chaothayi satar khul jayega ya qiraat bilkul na kar sakega to baithkar padhe aur agar khade hokar kuch bhi padh sakta hai ke jitni per qadir ho khade hokar padhe baki baithkar.
MASLA
———–
khade hone mahez kuch taqleef hona ujr nahi balki qiyaam us waqt saqit hoga (yani muaf hoga) ke khada na ho sake ya sajda na kar sake ya khade hone ya sajda karne me zakhm baihta hai ya khade hone me katra ata hai ya chaothayi satr khulta hai ya qiraat se majbore mahez ho jata hai .yu hi khada ho sakta hai magar usse marz me ziyadti hoti ya dair me accha hoga ya naqabile bardasht taqleef hogi to baithkar padhe.
MASLA
———–
Agar lathi ya khadim ya diwaar per tek lagakar khada ho sakta hai to farz hai ke khada hokar padhe.
(BAHARE SHARYAT HISSA 3 PAGE NO 60-61)

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)