HIQAYAT:-
**********
Ek Martaba Hazrat Imaam Hasan Aur Imaam Hussain Radi-Allahu-Ta’aala-Anhum Bachpan May Ghar Se Baaher Kahin Tashrif Legaye,To Hazrat Fatima Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Kuch Pareshaan Si Hui Ki Shehzaade Kahan Chale Gaye? Itne May Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Tashrif Le Aaye To Hazrat Fatima Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Ne Arz Kiya, Ya Rasoolallah! Hasan Aur Hussain Aaj Kahin Kho Gaye! Mujhe Malum Nahi Kahan Chale Gaye? Itne May Zibrayil Amin Haazir Hue Aur Arz Kiya Ki, Ya Rasoolallah! Aapke Dono Shehzaade Fala Jagah Hain! Aap Pareshaan Na Ho! Khuda Ne Unki Hifazat Keliye Ek Farishta Mut-ayyan Ker Rakha Hain! Yeh Sunker Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Us Jagah Tashrif Legaye! Kya Dekhte Hain Ki Dono Shehzaade To Pade So Rahe Hain Aur Ek Farishta Ek Baazu To Unke Niche Bichaye Hue Hain Aur Dusre Se Saya Kiye Hue Baitha Hain!
Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Dono Ka Mooh Choom Liya Aur Uthaker Ghar Le Aaye!
(Nujjahtul Majalis Jild-2,Pg-392)
********************************
SABAK:-
********
Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Yeh Dono Shehzaade Farishton Ke Bhi Makhdoom Hain!
Fir Insaano Keliye Kyon Laazim Na Hoga Ki Wo In Shehzaadon Ki Mohabbat Apne Dil May Rakhe Aur Unke Nakshe Kadam Per Chalker Unko Apna Peshwa Aur Makhdoom Jane!
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021