HADITH
======
IBN E MAJA ABU HURAIRA RADI ALLAHU TA’ALA ANHU se Rawi hai ki NABI KAREEM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA SALLAM ne farmaya : Jis me wus’at ho aur QURBANI na kare wo humari EID GAAH ke Qareeb na Aye .
MASLA:
======
QURBANI ka waqt 10 v ZILHAJJA ke tulu subah sadiq se 12 v ke guroob e aftaab tak hai yani 3 din aur 2 rate aur un dino ko ayyam-a-nahar wa ayyam-a-tashreeq kaihte hai agar 11 se 13 tak 3 dino ko ayyam-a-tashreeq kaihte hai lihaza bich ke do din ayyam-a-nahar wa ayyame tashreeq dono hai aur paihla din yani 10 v ZILHAJJA sirf yaomanahar hai aur pichla din yani 13 ZILHAJJA sirf yaomut`tashreeq hai .
(BAHAR-A-SHARYAT HISSA 15 SAFA 198)
MASLA
======
10 v ke baad ki dono rate ayyam-a-nahar me dakhil hai un me bhi QURBANI ho sakti magar raat me ZABAH karna makrooh hai.
(BAHAR-A-SHARYAT HISSA 15 SAFA 198)
MASLA
======
Paihla din yani 10 v tareekh sab me afzal hai fir 11v aur pichla din yani 10 v sab me kam darja hai .
(BAHAR-A-SHARYAT HISSA 15 SAFA 198)
MASLA
Ayyam-a-nahar me QURBANI karna utni qimat ka sadqa karne se afzal hai kyuki QURBANI WAJIB hai ya SUNNAT aur SADQA karna Tatawwo mahez hai lihaza QURBANI AFZAL hue.
(BAHAR-A-SHARYAT HISSA 15 SAFA 199)
MASLA
======
QURBANI ke din guzar gaye aur us ne QURBANI nahi ki aur jaanwar ya us ki qimat ko sadqa bhi nahi kiya yaha tak ki dusri BAQRA EID aa gyi ab ye chahta hai ke saal-a-guzishta ki QURBANI ki qaza us saal me kar le ye nahi ho sakta balki ab bhi wahi hukm hai ke jaanwar ya us ki qimat sadqa kare.
(BAHAR-A-SHARYAT HISSA 15 SAFA 199-200)
- Shab E Barat Kya Hai - 5th March 2022
- Health Tips Hindi - 4th January 2021
- Ramadan Hadith - 4th January 2021