Islamic Blog

∗ Fazilat-e-Namaz Ka Bayan ∗(1). Har Namaz Pichli
Namaz Ke Baad Hone Wale Gunah Mita Deti Hain. –
(Tanbihul Gafileen)
∗(2). Namaz Se Gunaah Dhulte Hain. – (Ibne Maja)
∗(3). Namazi Ke Liye Jannat Ke Darwaze Khol Diye Jate
Hain. – (Tabrani)
∗(4). Namaz Emaan Ki Alamat Hain. – (Munyatul Musalli)
∗(5). Namaz Se Rozi Me Barkat Hoti Hain. – (Tanbihul
Gafileen)
∗(6). Namaz Ki Toufiq Milna Allah Ta’ala Ka Aehsan Hain. –
(Mukashftul Quloob)
∗(7). Namaz Padhkar Wahi Bethe Rahe To Firishte Dua-e-
Magfirat Karte Hain. – (Abu Daud)
∗(8). Namaz Padhne Wale Par Nekiyo Ki Barish Hoti Rahti
Hain. – (Ehyaul Uloom)
∗(9). Namaz Behtereen Ibadat Hain. – (Delmi)
∗(10). Har Hissa-e-Zameen Tamanna Karta Hai Ki Kaash!
Mujh Par Koi Namaz Padhe. – (Tabrani)
∗(11). Namaz Buraiyo Aur Bimaariyo Se Bachati Hain. –
(Tazqiratul Wayezeen)
∗(12). Namaz Padhne Wale Ke Gunaah Muaf Ho Jate Hain.
– (Mishkat Sharif)
∗(13). Ek Namaz Dusri Namaz Tak Ke Gunaaho Ka Kaffara
Hain. – (Tanbihul Gafileen)
∗(14). Namazi Ke Gunaah Iss Tarah Jhadte Hain Jis Tarah
Khiza Me Darkht Ke Patte. – (Mishkat)
∗(15). Namaz Se Farig Hote Hi Gunaah Muaf Ho Jate Hain.
– (Kanzul Ummal)
∗(16). Namaz Se Sagira Gunaah Muaf Ho Jate Hain. –
(Muslim Sharif)
∗(17). Namazi Ke Sare Gunaah Jhad Jate Hain. – (Tanbihul
Gafileen)
∗(18). Namazi Ko Pul-Sirat Par Sawariya Milengi. –
(Nuzhatul Majalis)
∗(19). Namaz Padhne Se Darjaat Buland Hote Hain. –
(Muslim Sharif)
∗(20). Namaz Jannat Ki Kunji Hain. – (Muslim Sharif)
∗(21). Namaz Yakinan Duniya Aur Usme Jo Kuch Hain Unn
Sab Se Behtar Hain. – (Tazqiratul Wayezeen)
∗(22). Sajde Me Banda Allah Ta’ala Ke Karibtar Hota Hain.
– (Muslim Sharif)
∗(23). Baccha 7 Baras Ka Ho JayeTo Use Namaz Ka Hukm
Do. – (Muslim Sharif)
∗(24). Farz Namaaz Ke Baad Afzal Namaaz-e-Tahhajjud
Hai. – (Ahmed)

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm