Islamic Blog

firoun ne ek baar khwaab dekha ki uska Takht (singhasan) ulta ho kar gir gaya hai.

firoun ne kaahino se khwaab ki taabeer poochi to kaahino ne taabeer batayi ki…
Ek aisa bachcha paida hoga jo teri hukumat ke khatam hone ki wajah banega.

firoun ko is baat ki badi fikar hui…
aur usne bachchon ko marwaana shuru kar diya.

jo bachcha kisi ke yaha paida hota, firoun usy marwaa deta.

Hazrat Moosa Alaihis’salaam jab paida huye, to Allah Ta’Ala ne Moosa Alaihis’salaam ki maa ke dil me ye baat daal di ki “isy doodh pilaao aur jab koi khatra dekho to isy darya me daal do”

to is tarha kuch din Moosa Alaihis’salaam ki walda ne unko doodh pilaaya, us arsaa (time period) me Hazrat Moosa Alaihis’salaam na roty thy aur na shor karty thy, aur unki ki bahen ke alawa kisi ko unki paidaaish ki jaankaari nahi thi..

fir jab 3 mahina guzar gaya, to Moosa Alaihis’salaam ki maa ko kuch khatra mehsoos hua, To Allah Ta’ala ne unke dil me ye baat daal di ki “ab Moosa Alaihis’salaam ko ek sandook (lakdi ka box) me band kar ke darya me daal de, Aur koi fikar na kar, Ham isy fir tumhari goud me le ayengy”

iss tarha Moosa Alaihis’salaam ki maa ne ek sandook taiyaar kiya, aur usme ruyi bichaayi, aur Moosa Alaihis’salaam ko us sandook me rakh kar band kar diya aur sandook darya-e-neil me daal diya…

us darya se ek badi naher nikal kar firoun ke mahel se guzarti thi..

firoun apni biwi Aasiya ke saath usi naher ke kinary baitha tha, aur ek sandook naher me aate dekha,

to firoun ne apne ghulaamo ko sandook nikalne ka hukm diya,

sandook nikaal kar uske saamne laaya gaya,….. sandook khola to usme ek noorani shakal ka pyara bachcha nazar aaya, bachche ko dekhte hi uski mohabbat firoun ke dil me paida ho gayi..

Lekin firoun ke Qaum ke logo ne usko behkaaya aur kaha ki “ho sakta hai ki yahi wo bachcha ho jo aap ki hukumat ko barbaad karega”
fir wo bachche ke Qatl par taiyaar ho gaya..
to firoun ki biwi Aasiya (jo bahot nek khatoon thi) kehne lagi “ye bachcha meri aur teri aankh ki thandak hai, isy Qatl na kar, kya pata ye kis sarzameen se behta hua aaya hai, aur tujhe jis bachche se khatra hai wo to isi mulk bani-israel se bataya gaya hai”

Aasiya ki ye baat firoun ne maan li aur Hazrat Moosa Alaihis’salaam firoun ke mahel me hi parwarish paane lagy..

firoun ne bachche ke doodh pilaane ke liye daaiyaan bulwai, magar bachche ne kisi daayi ka doodh na piya,
ab firoun ko fikar hui, ki is bachche ke liye koi aisi daayi mile jis ka doodh ye bachcha peene lagy..

udhar Hazrat Moosa Alaihis’salaam ki maa apne bachche ki judaayi me bekaraar thi, aur Moosa Alaihis’salaam ki bahen ko maaloom karne bheja ki pata kare sandook kaha pahuncha, aur wo kaha pe hain…

Moosa Alaihis’salaam ki bahen unka suraagh khojte huye firoun ke mahel me pahunch gayi, aur jab maloom hua ki mera bhai isi mahel me hai aur kisi daayi ka doodh nahi pi raha, to firoun ko kehla bheja ki “main ek aisi daayi ko jaanti hu jiska doodh ye bachcha zaroor piyega”

firoun bola, zarur… aisi daayi ko laao..

is tarha wo apni maa ko firoun ke mahel me le gayi, jab wo ayi us waqt Moosa Alaihis’salaam firoun ki goud me thy aur doodh ke liye ro rahe thy, aur firoun aap ko behla raha tha,

jaise hi unki maa ayi aur bachche ne apni maa ki maujoodgi mehsoos ki to wo chup ho gaya, aur doodh bhi pi liya..

firoun ne poocha “tu is bachche ki kaun hai? …. is ne kisi daayi ka doodh nahi piya aur tera pi liya”

Moosa Alaihis’salaam ki maa ne kaha “main ek paak saaf aurat hu, aur jin bachchon ke mizaaj me nafaasat hoti hai wo aur aurton ka doodh nahi peety wo mera doodh pi lete hain..

firoun ne bachcha unko de diya, aur doodh pilane par unko mukarrar kar ke bachche ko apne ghar le jaane ki ijazat de di, is tarha uski maa Hazrat Moosa Alaihis’salaam ko ghar le aayi, aur Allah Ta’ala ka ye wada poora ho gaya ki “Ham isy wapas tumhare paas le aayenge”

is tarha Hazrat Moosa Alaihis’salaam ki parwarish khud firoun ke zarye se hone lagi,

aap doodh peene ke zamane tak apni maa ke paas rahe, us zamane me firoun unki maa ko 1 asharfi (gold coin) roz deta tha,

doodh chordne ke baad unki maa Moosa Alaihis’salaam ko firoun ke paas le ayi, aur wo mahel me parwarish paane lagy..

continue…..

Quraan & Tafseer Khazain-ul-irfaan

. . . . . . . . . . . . . . . .
Sachchi Hikaayaat
Hikaayat No. 68

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)