Islamic Blog

Bismillahirrahmanirrahim
*Friday Reminders – Must Read and Share *
1. Al Quran : Eh Imaan walon jab jumaa ke din namaz ke liye azan di jaye to Allah ke zikr ki taraf jaldi se aa jao aur kharid wa farokht chhodh do , tumhare liye yahi baat behtar hai agar tum ilm rakhte ho
Al Quran : Surah Al Jumaa (62) , verse : 9
2. Hazrat Aws bin Aws radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlalhi Wasallam Ne farmaya tumharey tamam dino mein Jumaa ka din sabse afzal hai ki is din Hazarat Aadam Alalhi salam ko paida kiya gaya aur usi din unki rooh qabz ki gayee aur isi din soor phunka jayega aur isi din sab behosh hongey isliye is roz (juma ko) mujh par ziyada se ziyada durud bheja karo kyunki tumhara durud Parhna mujh par pesh kiya jata hai, logon ne kaha ya Rasoollallah SallallahuAlalhi Wasallam Hamara Durud Parhna Aap par kis tarah se pesh hoga jabki Aap to Mitti ho gaye hongey,to Aap SallallahuAlalhi wasallam ne farmaya Allah taala ne Anbiya karam ke Jism ko Mititi par haram kar diya hai.
SunanAbuDawud, Vol 1,1035 ( Sahih)
3. Hazrat Abu Hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab Jumaa ka din aata hai to farishtey masjid ke darwazey par aaney walon ka naam likhtey hain sabse pahley aane wala oont(camel) ki qurbani dene waley ki tarah likha jata hai, uskey baad aaney wala gaay (cow) ki Qurbani deney waley ki tarah phir maindey (sheep) ki Qurbani ka sawab milta hai , uskey baad murgi(chicken) ka, uskey baad andey(egg) ka lekin jab imam (khutba dene ke liye) bahar aa jata hai to ye farishtey apney daftar band kar dete hain aur khutba sunney mein mashgul ho jatey hain.
Sahih Bukhari, Vol 2, #929
4. Hazrat Salman farsi Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisney jumaa ke din ghusal kiya aur khub paki hasil ki aur Tel (oil) ya khushbu istemal ki phir jumaa ke liye chala aur Do aadmiyon ke beech mein na ghusa aur jitni uski kismat mein thi namaz Parhi phir jab Imam bahar aaya aur khutba shuru kiya to khamosh ho gaya,uskey is jumaa se guzrey (past) jumaa tak ke tamam gunaah baksh diye jayengey.
Sahih Bukhari, Vol 2, 910
5. Hazrat Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne farmaya ye din (jumaa ) Eid ka din hai jo Allah ne musalmano ko ata farmaya hai, isliye jo jumaaa ke liye aaye to ghusal kar le aur khushbu mil jaye to laga le aur tum par miswak bhi hai
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1098-Hasan
6. Hazrat Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne apney minbar par se irshaad farmaya Logon ko Namaz jumaa tark karney (chhoDh deney) se baaz rahna chahiye nahi to Allah taala unkey Dilon par Muhar laga dega phir wo Ghafeeleen mein ho jayengey
Sunan An Nasai, Vol 1, # 1373 (Sahih)
7. Hazrat Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh mujh par Ek martaba Durud bhejega to Allah subhanahu us par 10 martaba rahmat bhejega aur uskey 10 gunaah maaf hongey aur 10 darjaat buland hongey
Sunan An Nasaii, Vol1, No. 1300 ( Sahih)
Durud-e-Ibrahim
Allahumma salli ala muhammad wa ala aali muhammad kamaa sallaita ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majid.
Allahumma baarik ala muhammad wa ala aali muhammad kamaa baarakta ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majid.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm