HIQAYAT:-
**********
Ek Garib Aadmi Ke Kamjor Gadhe Ko Shahi Astabal May Aane Ka Ittefaaq Hua! Kya Dekhta Hain Ki Ghode Khub Mote-Taaze Hain Aur Kayi Khidmat-Guzaar Unki Khidmat May Lage Hue Hain! Gadhe Ko Apni Halat Per Ranj Hua! Yeh Tamanna Karne Laga Ki, Aye. Kaash! Main Bhi In Jaisa Hota! Itne May Jung Ka Bigul Baja! Ghode Ko Maidaan-A-Jung May Jana Pada! Jab Wo Wapas Hue To Gadhe Ne Dekha Ki Koi Ghoda Zakhmi Hain! Koi Lahu-Lohaan Hain, Kisiki Jism May Teer Pewast Hain! Jise Nikaala Ja Raha Hain! Koi Karib-Ul-Marg Hain! Yeh Aalam Dekhker Gadhe Ne Kaha, Mere Khaliq! Main Isi Haal May Khush Hoon! Main Nahi Chahta Ki In Jaisa Hojaoun!
(Sacchi Hiqayat, Hissa-4, Pg-633)
***********************
SABAK:-
********
Khuda Ne Jis Haal May Rakha Hain, Wahi Accha Hain! Jo Bade Hain, Unki Aajmayish Bhi Badi Hain!
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017