Islamic Blog

HIQAYAT:-
**********
Hazrat Abul Hussain Noori Rehmatullah Ta’aala Alaihi Ki Ek Khadima Thi! Aapne Us Khadima Se Farmaya Ki Mere Liye Roti Aur Dudh Lao! Chunanche, Khadima Le Aayi! Hazrat Abul Hussain Noori Rehmatullah Alaihi Ne Koyla Sulgaya Dudh Garam Kiya! Roti Dudh Ke Sath Khane Lage! Khadima Ne Dekha Ki Hazrat Abul Hussain Noori Rehmatullah Ta’aala Alaihi Ke Hath Per Koylon Ki Syahi Lag Rahi Hain! Aap Usi Hath Se Roti Kha Rahe Hain! Khadima Ne Dil May Kaha, Ki Yeh ALLAH Ke Kaise Wali Hain? Magar Inme Najafat (Safayi) Nahi Hain! Dil May Yeh, Yeh Kehker Baaher Nikli To Ek Aurat Ne Use Pakad Liya Aur Kaha, Ki Mere Kapdon Ki Gatri Chura Ligayi Hain! Uski Churane Wali Tum Ho! Lihaja Main Tumeh Thane Le Chalugi!
Chunanche, Wo Zabardasti Use Thane Legayi! Hazrat Abul Hussain Noori Rehmatullah Ta’aala Alaihi Ko Pata Chala To Aap Thane Pahuche Aur Farmaya, Ki Yeh Bekasoor Hain Ise Chod Do! Sipahi Ne Kaha Ki Iski Begunahi Ka Aapke Paas Kya Saboot Hain? Aapne Farmaya, Wo Dekho! Logon Ne Udhar Dekha To Us Aurat Ke Ghar Walon Se Ek Aurat Wahi Gatri Leker Aayi Aur Boli Gatri Milgayi!!
Chunanche, Khadima Ko Chod Diya Gaya! Hazrat Abul Hussain Noori Rehmatullah Alaihi Ne Khadima Se Farmaya, Kya Aayinda Fir Bhi Yun Kahogi Ki ALLAH Ke Waliyon May Najafat (Safayi) Nahi Hoti? Khadima Ne Kaha, Huzoor! Meri Tauba!

(Rauzur Riyaheen, Pg-126)

*********************************
SABAK:-
*******
ALLAH Walon Ko Kabhi Hiraqat Ki Nazar Se Nahi Dekhna Chahiye! Yeh Bhi Malum Hua Ki ALLAH Walon Ke Dil Ke Khayal Per Bhi Nazar Ja Padti Hain!

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm