Hazrat Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki *Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam* ne farmaya jab aadmi apne ghar se nikle aur ye dua padhe to usey (Allah ki taraf se) kaha jata hai ki tujhe hidayat di gayee, teri kifayat ki gayee aur teri hifazat ki gayee aur shaitan us se dur ho jata hai. aur dusra shaitan us se kahta hai ki us aadmi ke saath tera kya haal ho sakta hai jise hidayat di gayee ho, jiski kifayat ki gayee ho aur jiski hifazat ki gayee ho,
*بِسْمِ اللَّهِ تَوَكَّلْتُ عَلَى اللَّهِ لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ*
*Bismillahi tawakkaltu AlAllahi La hawla wa La quwwata illa billah*
Allah ke naam ke saath (ghar se nikalta hu) aur Allah hi par maine bharosa kiya gunaho se bachne aur neki karne ki taqat sirf Allah hee ki taraf se hai).
Sunan Abu Dawud, jild 3, 1654-Sahih
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)
- Shab E Barat Kya Hai - 5th March 2022
- Health Tips Hindi - 4th January 2021
- Ramadan Hadith - 4th January 2021