Islamic Blog

HIQAYAT
**********
Ek Aakibat-Andesh Aadmi Ko Ek Martaba Apne
Gunahon Ka Khayaal Aaya! Wo Apni Umr Ka Hisaab Karne Laga! Hisaab Jo Kiya To Uski Umr 60 Saal Ki
Nikli! Fir Wo 60 Saal Ke Din Ginne Laga To 60 Saal Ke
21500 Din Bane! Yeh Baat Dekhker Wo Gash-
Khaker Girpada! Jab Hosh Aaya To Kehne Laga
Afsos! Main Halaak Hogaya! Agar Main Har Roz Ek
Gunah Bhi Shumaar Karoon To Mere Gunah 21500 Bante Hain! Haal Yeh Hain Ki Maine Ek Din May Kayi-
Kayi Gunah Kiye Hain! Yeh Kehker Wo Fir Gash-
Khaker Girpada Aur Margaya! (Rauzul Fayik, Pg-14)
*********************************
SABAK
******* Har shaks Ko Apne Aamaal Ko Dekhna Chahiye Aur
Sochna Chahiye Ki Agar Har Roz Ek Gunah Bhi
Shumaar Kiya Jaye To Hazaaron Gunah Jama
Hojayege! Fir Agar Ek-Ek Roz May Kayi-Kayi Gunah
Kiye Jaye To Andaza Laga Lijiye Ki Un Gunahon Ka
Kis-Qadr Ambaar Lag Jayega! Kal Qayamat Ke Din Kis-Qadr Mushkil Ka Saamna Hoga! Har Shaks Ko
ALLAH-TA’AALA Se Darna Chahiye Aur Gunahon Se
Bachna Chahiye! ***************
******************

mm
Latest posts by Færhæn Ahmæd (see all)