HIQAYAT:-
**********
Hazrat Imaam Aazam Alai-Hir-Rehmaan Ke Zamane May Ek Shaks Apna Kuch Maal Zameen May Dafn Karke Bhool Gaya! Imaam Sahab Ki Khidmat May Haazir Hua Aur Wakeya Arz Kiya! Hazrat Imaam Sahab Ne Farmaya, Jao! Aaj Tum Saari Raat Namaz Padhte Raho, Tumeh Yaad Aajayega Ki Maal Tumne Kahan Dabaya Hain!
Chunanche, Wo Shaks Gaya Aur Raat Ko Usne Namaz Padhna Shuru Kerdiya! Abhi Chnd Rakat Hi Padhi Thi Ki Use Yaad Aagaya Ki Maal Kahan Dabaya Hain? Bada Khush Hua! Subah Imaam Sahab Ki Khidmat May Haazir Hoker Kehne Laga Ki Huzoor Aapne Yeh Tadbir Kaise Irshad Farmayi? Farmaya, Mujhe Malum Tha Ki Shaitaan Tujhe Raat Bhar Namaz Na Padhne Dega Aur Tujhe Tera Maal Yaad Dila Dega Taaki Tu Namaz Chhod De! Afsos Ki Tune Shukriya May Raat Bhar Namaz Kyon Na Padhi?
(Tayid-A-Ilmiya Kitabul-Azkariya, Pg-114)
(Jawahirul Bayaan Pg-96)
********************************
SABAK:-
*********
Insaan Mushkil Ke Waqt Khuda Ko Yaad Karne Lagta Hain Magar Mushkil Tal Jane Ke Baad Fir Be-Dhangi Chaal Ikhtiyar Kerleta Hain!
Yeh Baat Badi Afsosnaak Hain, Aise Nahi Karna Chahiye!
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017