Islamic Blog

1. Gunah karne se Aadmi Ilm deen se Mahroom ho jata hai.
2. Gunah karne se Rizq me Kami ho Jati hai.
3. Gunah karne se Khuda Tala se Wahshat hoti hai.
4. Gunah karne se Aadmiyon se Bilkhusus Naik logo se Wahshat hone Lagti hai.
5. Gunah karne se Aksar kamo me Dushwari Paish Aati hai.
6. Gunah karne se Qalb me Aik Qisam ki Tariki Mahsoos hoti hai.
7. Gunah karne se Dil aur jism me Kamzori Paida hojati hai.
8. Gunah karne se Aadmi Ta’aat (ibadat) se Mahroom ho jata hai.
9. Gunah karne se Umr Ghat ti hai aur Zindagi ki Barkat Nikal jati hai.
10. Gunah karne se Aik Gunah doosre Gunah ka sabab ban jata hai.
11. Gunah karne se toba ka Irada kamzor hojata hai yaha tk k Toba ki Toufeeq Khatam ho jati hai.
12. Gunah karne se chnd roz me Gunah ki burai dil se Khatam hojati hai.
13. Har Gunah Dushmana ne khuda me se Kisi ki meeras hai, Lehaza ye Shaksh Mal’oon Qoumo ka waris banta hai.
14. Gunah karne se khuda Tala k Nazdeek Zaleel-o-Khwar ho jata hai Aur Makhlooq me bhi izzat nahi Rahti.
15. Gunah ki Nahusat se Doosri Makhlookh ko bhi Zarar Pahonch ta hai is wajeh se digar Makhluqat is per la’nt Karti hai.
16. Gunah karne se Aqal me Futoor aur kami ho jati hai.
17. Gunah karne se Gunahgar Shaksh Huzoor S.A.W ki la’nt me Dakhil ho jata hai Kyu k Aap ne bahot se Gunaho per La’nt Farmai hai.
18. Gunah karne se Aadmi Farishton ki Dua se Mahroom ho jata hai.
19. Gunah karne se Tarah Tarah ki Kharabiya Zameen me paida ho jati hai Pani, Hawa, Galla, Phal naqis Hojata hai.
20. Gunah karne se Haya aur Gairat jati Rahti hai.
21. Gunah karne se Allah Tala ki Azmat dil se Nikal jati hai.
22. Gunah karne se Ne’maten Salb hojati hai Balao aur Musibaton ka Hujoom hota hai.
23. Gunah karne se Tareef aur Izzat k Laqab Chin kar Zillat-o-Ruswai k Khitabaat milte Hai Masaln Fasikh, Fajir, Zalim Wagaira.
24. Gunah karne se Shayateen us per Musallat ho jate hai.
25. Gunah karne se dil ka Itminan Jata Rahta hai.
26. Gunah karne se khuda ki Rahmat se Na Ummidi ho jati hai is Wajeh se toba nahi karta Aur be toba Marta hai.
27. Gunah karte karte Wahi Gunah dil me Bus jata hai Yaha tk k Marte Waqt kalima Tk Muh se Nahi Nikalta.(Waliyazu Billah) Allah Hum sub ko Apne Panah me Rakhe.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm