☆Guroor Aur Ghaflat Ka Nasha Sharaab Se Bhi
Zyada Hota Hai.
Jo Iss Nashe Me Mubtala Ho Jata Hai, Wo Jaldi
Hosh Me Nahi Aata.
“
☆ Kisi Ki Madad Karte Waqt Uss Ke Chehre Ki
Janib Mat Dekho,
Ho Sakta Hai Uss Ki Sharminda Aankhe Tumhare
Dil Me Gharur Ka Beej Bo De.
“
☆Sharif Aadmi Taraqqi Pa Kar Naram Ho Jata
Hai aur
Kameene(Gharurmand) Ka Mamla Usase Ulta
Hai.
“
☆Kabhi Bhi Kamyabi Ko Dimag Me Aur Nakami
Ko Dil Me Jagah Na Dena Qunki,
Kamyabi Dimag Me Takabbur(Gharur) Aur
Nakami Dil Me Mayusi Paida Kar Deti Hai.
“
☆Jo Shakhs Tumhari Nigahon Se Tumhari
Zaroorat Samjh Nahi Sakta,
Usey Kuch Keh Kar Khud Ko Sharminda Bhi Na
Karo.
“
☆Jab Tak Bande Ko Sachche Dil Se Sharmindgi
Ka Ehsaas Na Ho,
Zabani Taubah Bekaar Hai.
– (Hazrat Amin-e-Millat)
“
☆Mehnat Na Karna Gareebi Laata Hai Aur
Gareebi Deen Se Duri,
Aqal Ko Kamzor Aur Sharm Ko Khatm Kar Deti
Hai.
- Sultan Shamsuddin Altamas. - 25th October 2016
- Allah Ki Raah me Kharch. - 24th October 2016
- Aqeeda aur Niyat. - 22nd October 2016