Islamic Blog

•»HADEES«•
*************
Hazrat Anas Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Farmate Hain Ki Ek Isayi Musalman Hua Usne Sur-A-Bakr Aur Sur-A-Aale-Imraan Padhli Fir Wo Nabi-A-Karim SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Bargah May “WAHI” Ki Kitaabat Karne Laga, Iske Baad Wo Isayi Hogaya Aur Kehta Tha Ki Mohammad Wahi Jaante Hain Jo Maine Likh Diya Hain! Fir ALLAH-TA’AALA Ne Isko Maut De Di Aur Logon Ne Ise Dafn Kerdiya, Agle Din Uski Laash Zameen Per Padi Mili, Kehne Lage Yeh Mohammad Aur Unke Sathiyon Ne Kiya Hoga Kyonki Yeh Unke Paas Se Bhaagker Aagaya Tha, Isliye In Logon Ne Hamare Aadmi Ki Qabr Khodh Daali!
Dusre Din In Logon Ne Iske Liye Aur Gehri Qabr Khodhi Lekin Wo Agle Din Zameen Per Pada Mila, Kehne Lage Yeh Mohammad Aur Inke Sathiyon Ka Kaam Hain Kyonki Yeh Inke Paas Se Bhaag Aaya Tha!
Tisre Din In Logon Ne Iske Liye Jitni Unke Bas Ki Baat Thi, Utni Gehri Qabr Khodhi! Subah Hui To Fir Dekha Laash Baaher Padi Hain! Ab Wo Log Samajhe Ki Yeh Insaano Ka Kaam Nahi Hain (Yani Yeh Sab Kuch Gaib Se Ho Raha Hain) To Ise Wahin Pade Rehne Diya!

(Bukhari Jild-1, Baab Almaatin-Nubuwat Pg-511)

************************
TASHRIH:
**********
Is Hadees Ka Khulasa Yeh Hain Ki Gustakh-A-Rasool Ko Har Shai Pehchanti Aur Isse Nafrat Karti Hain, Zameen Ne Bhi Is Be-Adab Ko Kubul Na Kiya Aur Bar-Bar Dafnane Ke Ba-Wajudh Wo Ise Baaher Nikaalker Fhenk Deti Thi!
************************

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm