Islamic Blog

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith : Jo Shaksh apni biwi ke dabar (anus) mein jamaah (intercourse) karey wo mal-oon (laanat kiya gaya) hai
——–
✦ Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Jo Shaksh apni biwi ke dabar (anus) mein jamaah (intercourse) karey wo mal-oon (laanat kiya gaya) hai
Sunan Abu Dawud, Vol 2, 395 – Hasan

✦ Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu us mard ki taraf rahmat ki nazar se nahi dekhtey jo apni biwi ke peechey ki raah ( yani anus mein) mein sohbat (jamaah ya inyetcourse) karey
Sunan ibn Majah, , Vol 2, 80-Sahih

✦ Khuzaimah bin Thabit Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah subhanahu haq baat kahney se haya nahi farmata, aurto se unkey peechey (anus) ki janib se jamah (intercourse) na karo .
Sunan ibn Majah, , Vol 2, 81-Sahih

✦ Jaber Radi Allahu Anhu ne farmaya ki yahudi kaha kartey they jo shaksh aurta ki aage ki raah (sharmgah) mein peeche ki janib se sohbat (jamaa) karega to uska bachcha bhenga (crosss-eyed) paida hoga is par Allah subhanahu ne ye aayat nazil farmayee “Tumhari biwiyan tumhare liye khetiyan hain isliye tum apni kheti mein jaisey chahey jao-2:223”
Sunan ibn Majah, , Vol 2, 82-Sahih

✦ Al Quran : Tumhari biwiyan tumhare liye khetiyan hain isliye tum apni kheti mein jaise chahe jao.
Surah Al-Baqarah (2), 223

✦ (Tafseer : Aurat ki aage ki janib (sharmgah) mein kisi bhi tarah se jama kiya ja sakta hai magar peeche (anus mein) jamah karna shariyat mein jayaz nahi hai)

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)