Islamic Blog

*Bismillahirrahmanirraheem*

*Hadith: Surah Al-Kahaf ki fazilatein*
————–

✦ Rasool-Allah sallallahu Alaihi wassllam ne farmaya Jo (Musalman) Juma ke din Surah Al-Kahaf ki tilawat kare to uske liye is juma se agle juma tak ek noor chamakta rahega
Mustadrak Hakim 3392-Sahih
Sahih Al jamee 6470

✦ Rasool-Allah ﷺ ne farmaya jisne Juma ki raat surah kahaf padhi uske aur baitullah ke darmiyan noor ki
roshni ho jati hai
*(Note : jumerat ko magrib ke baad se juma ki raat shuru ho jati hai)*
Saheeh Al-Jaami, 6471,

✦ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo Surah Al-kahaf ki shuru ki 10 aaytein yaad kar le wo Dajjal ke fitney se bach jayega
Sahih Muslim, Vol 1, 1883

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jis shaks ne surah Al-Kahf us tarha padhi ( jis tarha nazil huye) to ye aamal uske liye qayamat ke din uski qayam gah se le kar Makka tak noor ka sabab hoga
Al-Silsila-tus-Sahiha – 2977

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)