Islamic Blog

Agar aurat ko haiz/period ghuroob e aftaab(suraj dhalne se pahle) se pehle shuru hojaye, yahan tak ke ek lamha pehle bhi aajaye to aurat ka roza batil hojayega aur use us din ki qaza karni padegi

Sheikh Ibn Uthaymeen(r.h) ne Majaalis Shahr Ramadaan Pg : 39 aur Mazmoon Al-Dima’ Al-Tabee’iyyah li’l-Nisa Pg : 28 Mei  kaha ke
Agar aurat ko haiz/period roze ki halat mei shuru hota hai, phir chahe ghuroob e aaftaab se ek lamha pehle hi kyun na ho iska roza batil hogaya aur aurat ko iski qaza karni hogi.
Haiz ki halat mei roze rakhna iske liye jayez nahi hai, agar wo aisa karti hai to iska roza sahih nahi hai.
Sahih qoul ke mutabiq Agar wo mehsoos karti hai ke uska haiz shuru hone wala hai lekin ghuroob e aaftab ke baad tak kuch bhi baher nahi aata hai to uska roza mukammal hogaya hai aur fasid nahi hua.
__________________________________
Ibn qudaamah(r.h) Ne Al-Mughni(4/397) mei kaha
Agar haiza aurat roza rakhne ka irada karti hai aur khaane peene se ruk jaati hai agarche ye is baat se aagah hai ke ye haraam hai to wo gunehgaar hai aur ye ke roza ise kuch faida na dega.
Haiza aurat aur nifaas(bleeding after child birth) wali aurat ek taur par shumaar hongi kyunke nifaas ka khoon haiz ke khoon ki tarha hai so wo(nifaas) isi(haiz) ke ahkaam ke tahet aata hai. Agar haiz din ke waqt shuru hota hai to is din ka roza batil hojayega chahe din ke shuru mei aaye ya aakhir mei aaye.
__________________________________
Standing Committee(10/155) se sawaal kiya gaya ek aurat ke talluq se jisne roza rakha aur jald hi ghuroob e aaftaab se pehle aur azaan se pehle iska haiz shuru hogaya to kya iska roza sahih hai?
Inhone jawaab diya :Agar uska haiz ghuroob e aaftaab se pehle shuru ho gaya to  iska roza batil hogaya aur use iski qaza karni hogi. Aur agar haiz ghuroob e aaftaab ke baad aagaya to uska roza sahih hai aur use iski qaza nahi deni hogi.
Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm