Islamic Blog

Haeza Ko Choona Aur Is Ke Saath Khana Jaaez Hai:

Sayyadna Anas r.a. riwayat karte hain ke jab aurat haiz (ya’ani mahwari ka qhoon) se hoti to yahoodi iske saath khate peete nahi the, to Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: Haaeza ke sath har kam karo siwae jima’a ke. (Muslim: al Haiz 302)

Ya’ani haaeza se khana peena, uthna baithna, milna julna, ise choona aur bos o kinaar (kissing) waghaira sab batei’n jaaez hain siwae mujamea’at (T: sexual intercourse) ke.

Ummul Momineen Aisha r.a. riwayat karti hain ke Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм  mujhe (haalat haiz mein) izar baandhne ka hukam dete, so main izar bandhti. Aap mujhe gale lagate the aur main haiz wali hoti thee. (Bukhari: al Haiz 300 – Muslim: al Haiz 293)

Aisha r.a. se riwayat hai ke Nabi e Akram ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne masjid (me apni etekaaf’gah) se mujhe boriya pakdane ka hukam diya. Main ne kaha ‘Mai’n Haaeza hu’n.
Aap ne farmaya: Tumhare Haiz tumhare haath me nahi hai.’ (Muslim: al Haiz, 298)

Aisha r.a. se riwayat hai: ‘Nabi e Rahmat ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм meri god ko takiya banakar Quran e Hakeem ki tilaawat karte the hala’nke main haaeza hoti thee.’ (Bukhari: al Haiz, 297 – Muslim: al Haiz 301)

Haaeza Ka Quran Padhna Aur Azkaar Ka Karna:

Haalat janaabat wo haiz main Quran e Hakeem ki tilaawat ke haraam hone ke bare me koi saheeh hadees nahi hai.
Azkaar ki baabat Imaam Navawi farmate hain: ‘Haaeza ke liey Tasbeeh o Tamheed takbeer aur deegar dua’ae’n aur azkar bila ijma’a jaaez hain.’ (Al Majmua’a)

Iski daleel Aisha r.a.  ki hadees hai.
Aap farmati hain: Main hajj ke dauran me haaeza hogai to Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: ‘Baitullah ke tawaf ke alawa har wo kaam karo jo haaji karta hai.’ (Bukhari: al Haiz 294 – Muslim: al Haj, 1211)

Is hadees se ye bhi waazeh hua ke haaez Tawaaf e Ka’aba ke alaawa Hajj ke baaqi tamaam a’amaal kar sakti hai.
Umme A’atiya r.a.  farmati hain ke Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne haiz wali aurato’n ko bhi eid ke roz eid’gaah jane ka hukam diya take wo logo’n ki takbeero’n ke saath takbeerei’n kahei’n aur in ki dua ke saath dua karei’n leking namaz na padhei’n.
(Bukhari: al Edain 981 – Muslim 890)

Ummul Momineen Aisha r.a. farmati hain ke Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм har haal me Allah ka Zikar karte the. (Muslim al Haiz 373)

In ahadees se saabit hua ke haaeza aur janbi zikar azkaar karsakte hain.

Source:https://iqrakitab.wordpress.com

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm