Islamic Blog

hamal ke doran aisi ghiza istamal karain jiska sirf zaeka hi behtar na ho balkay ghizaeyat say bharpoor ho (nutritious). agar koi ghiza maa ke liye nuksan deh hai to yakeeni tor say wo ghiza pait mai ja kar bachay ko bi nuksan pohncha sakti hai. bachay ki sehat mai zara si kharabi, pait ke andar hi is ki maut ka sabab ban sakti hai, jo ke maa ki zindagi ke liye bi khadshaat kharay kar deta hai. is liye khanay peenay mai bohat ehtiyaat say kaam lain.

  1. puraana gosht jo bohat arsay say para hua hai aur istamal mai nahi aaya aur ab pakaanay ke baad bhi sahi tarah say naram nahi hua to wo beemarian paida kar sakta hai. Is kisam ke gosht mai protein nahi hoti, balkay is mai bacteria hota hai jo paet ki bimarion ka sabab banta hai.
  2. Noodles jo aam tor par ham jaldi aur kam wakt mai bana kar shok say khatay hain, wo hamal ke doraan nahi khanay chahiye, kyunke is mai ghee ki mikdaar, chiknaee ki mikdaar ziada hoti hai aur namak (salt) bi ziada hota hai, jo khoon ke dabao (blood pressure) ko ragon mai barha deta hai (High BP).
  3. Sasta gosht jo ke ham paiso ki bachat ke liye khareed letay hain wo bi nuksan deh hai. kyunkay ye nahi pata k gosht kitnay arsay ka baasi aur purana hai. is say bi pait ki bimariyan laahak ho sakti hain.
  4. naram kisam ki (cheese) istamal na karain kyunkay masnuee tareekay say masnuee zaika lay kar jab aisi cheezain banaee jati hain to in mai be-tahaasha jaraseem aa jatay hain, jo agay chal kar nuksan ka baes bantay hain.
  5. aisay anday (eggs) na khaen jo puranay ho gaey hon ya dabb gaey hon, aisay anday to aik aam sehat mand ke liye bi khatra hain, phir aik haamla khatoon ke liye to bohat hi khatarnaak sabit ho saktay hain.
  6. Jin cake, cookies, double roti (bread) mai anda (egg) istamal hotay hain un say parhaiz karain. kyunkay anda (egg) maidey mai garmi paida kar ke naee bimariyon ko janam deta hai.
  7. masnuee zaeka dar (artificial flavoured) ghar mai ban-nay wali ice cream say bi parhaiz karain.
  8. Custurd aur cream say bi ijtanaab karain, ye bi utnay hi muzir-e-sehat hain jitnay ke cake aur cheese hain.
  9. tali hui machhli (fried fish) ka ziada istamal na karain, bohat nuksan de sabit ho sakti hai, iskay istamal say bachay ki zehni nasho numa ruk jati hai aur bachay ka zehan kamzor ho jata hai.
  10. nasha aawar ashyaa cigrette waghaira say parhaiz karain, hamal ke doraan ye maa aur bachay dono ke liye nuksan deh hai.

Source : http://hdrkashif.blogspot.in/

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm