Islamic Blog

Hazrat Shafiq Balkhi (Radhi Allahu Ta’alaAnhu) Farmate Hain Ki Ek Roz Hazrat Ibrahim Bin Adham(rehmalull­ a tala alehi) Basre Ke Bazaar Se Guzre Rahe The!.
To Logon Ne Aapki Khidmat Me Haazir Hokar kaha, Huzoor! Quraan Me ALLAH Ta’ala Ne Farmaya Hai Ki Tum Mujhse Dua Maango Mein Kabul Karuga! Hum bahut time se Dua Maangte Rahe Hain Magar Kubul Nahi Hoti! Iski Kya Wajah Hai?

Hazrat Ibrahim Bin Adham Rehmatullah Ta’ala Alaihi Ne Jawab Diya Ki, Aye Logon! Tumahre Dil 10 Chizon Se Murda Ho gaye Hain! Fir Tumahri Dua Kaise Kubul Hogi?

∗ (1) Tumne Khuda Ko Pehchana Magar Uski Maarfat Ka Haq Ada Na Kiya!
∗ (2) Tumne Quraan Padha Magar Us per Amal Nahi Kiya!
∗ (3) Tumne Mohabbat-e-Rasool Ka Daawa Kiya Magar Unki Sunnat Per Amal Na Kiya!
∗ (4) Tumne shaitan ke khilaf hone ka dawa kiya, lekin tunme uske khilaf kuch na kiya (sirf bate hi ki)
∗ (5) Tumne Jannat Ko Chaha Magar Usme jaane Ke liye kuch acche kaam na Kiye!
∗ (6) Tumne Jahannam Se bachna chaaha Magar Khud Hi Apne Nafs (ego) Ko Usme Daal Diya!
∗ (7) Tumne Mout Ko sach Jana Magar Uske Liye Taiyyari Na Ki!
∗ (8) Tumne Bhaiyon Ki peeth piche burai ki Magar Apni kamiya na dekhi,
∗ (9) Tumne Allah Ki Nematain Khai Magar Uska Shukr Ada Na Kiya!
∗ (10) Tumne Murdon Ko Dafan Kiya Magar unki maut se koi sabak na liya.
-: (Durratun-Nasih­ een, Pg-513)

Matlab ye hua dosto, ke jab hum gunah karte rahenge to dua bhi der se kubul hogi, isliye gunaho se bachiye, Allah aur uske rasool (sallallahu alyhiwasallam) ki baato ko maaniye, phir hamari duaon mein bhi asar peda hoga,

Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, aameen.

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)