Islamic Blog

Haiz us qhoon ko kehte hain jo balegha aurat ke raham se har maah nikalta hai, iska kam se kam waqt ek din aur ek raat hai aur ziyada se ziyada 15 din hai. A’am taur par 6 ya 7 din aata rehta hai.

Haiz o Nifaas Ke Ayyam Mein Mamno A’amaal

1. Namaaz Aur Roza Ki Mumaneat:

Rasool Allah ѕαllαllαн нυ αllαyнe ωαѕαllαм ne farmaya: ‘Jab aurat haiz se hoti hai to wo namaz nahi padhti aur na roza rakhti hai.’

(Bukhari: al Haiz 304 – Muslim: al Eman 79)

Ek aurat ne Aisha raji Allah . se dariyaft kiya:

Kya wajah hai ke hai heza aurat roze ki qaza tu deti hai, Namaz ki nahi?

Aisha raji Allah. ne farmaya: ‘Rasool Allah ѕαllαllαн нυ αllαyнe ωαѕαllαм ke zamana mein hamein haiz aaya karta tha to hamei’n roze ki qaza ka hukam diya jaata tha magar namaz ki qaza ka hukam nahi diya jata tha.’
(Muslim: al Haiz 335)

2. Haeza Se Sohbat Karne Ki Mumaneat:

Haiz ki haalat main aurat se mujamat karna saqht gunah hai Allah Ta’ala ne Quran e Majeed main farmaya: ‘Pas (ayyam) haiz mein aurato’n se kinara kasha kiya karo
(ya’ani sohbat na karo).

Agar koi is gunah ka murtakib hojaae to Nabi e Akram ne farmaya:

Jo shaqs bahaalat haiz apni aurat se sohbat kare to ise chahie ke aadha deenar khairat kare.’
(Abu Dawood: al Tahaara 264 – Tirmizee: al Tahaara 136)

Deenar sadhe chaar (4½) mashe sone ka hota hai to aadha deenar sawa do mashe (2¼) sone ka hua. Sone ki qeemat sadqa kare ya’anee kisi mustahiq ko de de aur aainda ke liey tauba kare

3. Tawaf Ka’aba Ki Mumane’at:

Ummul Momineen Aaisha r.a. se riwayat hai ke main Rasool Allah ѕαllαllαн нυ αllαyнє ωαѕαllαм ke sath hajj ko gai,
raaste me mujhe haiz shuru hoga
Rasool Allah ѕαllαllαн нυ αllαyнe ωαѕαllαм mere paas aae aur main ro rahi thee, Aapne Farmaya: ‘Kya tumhe haiz aagaya?

Main ne arz ki ke haa’n Aap ne farmaya:

ye Allah Ta’ala ka amar hai jo is ne Aadam (A) ki betiyo’n ke liey likh diya hai, pas tum har wo kaam karo jo haaji karte hain siwaae Qhanae Ka’aba ke tawaaf ke, aur wo tum (haiz se paak hokar) ghusl karne ke ba’ad karna.’

(Bukhari: al Umrah 1785 – Muslim 1216

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm