Islamic Blog

1: har mariz par 7 martaba BISMILLAHIR RAHMAANIR RAHEEM ke sath surah fatiha padh kar dam kare.
2: Quran mein shifa hai. mariz rozana kam azkam 1 safa tilawat kare. INSHAALLAH har bimari se shifa milegi..
3: shehad me shifa hai. shehad ka 1 spoon rozana pani ke sath subah nashte se pehle piye..
4: 1 chutki kalonji rozana pani ke sath khaye.. Hadees me aata hai ki RASOOL sallallaho alayhi wasallam ne farmaya tum kalonji istemaal kiya karo beshak ismen maut ke ilawa har bimari ki shifa maujud hai. (Bukhari Sharif – Muslim Sharif)
5: mariz par har namaz ke baad ye duwa parh kar dam karen..
tarjuma: aye humare RAB is bimari ko door farmade aur shifa ata farma tu hi shifa dene wala hai. teri shifa ke ilawa aur koi shifa nahi aur aisi shifa ata farma jo bimari ko na chhore.. (Bukhari Shareef)
RASOOL sallallaho alayhi wasallam bhi logo par ye duwa par kar dam kiya karte they..
6: mariz har namaz ke baad kam azkam 3 martaba ye duwa zarur parhe.
LA HAULA WALA KUWWATU ILLA BILLAHIL ALIYIL AZIM RASOOL sallallaho alayhi wasallam ka farman hai ki ye duwa 99 bimariyo ki dawa hai jis me sab se halki bimari fikar pareshani hai. (Tabrani , Hakim)
7: RASOOL sallallaho alayhi wasallam har gam o mushkil ke waqt ye duwa parte they.
YA HAIYYO YA QAIYYUMO BERAHMATIKA ASTAGEESO
tarjuma :aye ALLAH teri rehmat ke zariye fariyad rasi chahta hoon. (Nisai Shareef)

har duwa ke shuru aur aakhir me DAROODE IBRAHIMI zarur parhen.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm