Islamic Blog

Hiqayat : Hazrate Jabir (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke Jaishaan Se Ek Aadmi Aaya Aur Jaishaan Ek Shahar (Town) Hai Yeman Me, Uss Aadmi Ne Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Uss Sharaab Ke Baarey Me Puchha Ke Jo Unn Elaqon Me Pee Jati Hai Aur Wo Sharaab Jo Taiyaar Hoti Hai Uss Sharaab Ko Mizr Kaha Jata Tha.
Tou Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – “Wo Sharaab Nasha (Intoxicating) Waali Hai?”
Uss Ne Arz Kiya, “Ji Haan!”
» Hadees : Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – “Har Nasha Wali Cheez Haraam Hai, Kyon Ke Allah Ta’ala Ka Uss Aadmi Ke Liye Waada Hai Ke Jo Aadmi Nasha Waali Cheez Peeyega Ussey Allah Ta’ala Tinatah-Al-Khabaal Peelayega”,
Sahaba-e-Kiraam (RaziAllahu Anhu) Ne Arz Kiya, “Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Tinatah-Al-Khabaal Kya Cheez Hai?
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – “Dozakhiyon Ka Pasina Hai”.
– (Sahih-Muslim, Vol-No: 05, Hadees-No: 5217)

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm