Islamic Blog

#KANZUL_IMAAN – Aur hargiz ALLAH ko be khabar na jaanna zaalimo ke kaam se,unhein dheel nahin de raha hai magar aise din ke liye jisme.unki aankhen khuli ki khuli rah jayengi apne sar uthaye hue ki unki palak unki taraf lautti nahin,aur unke dilo me kuchh sakat na hogi…..jab unpar azaab aayega to zaalim kahenge ai hamare rub thodi deir hamein mohlat de ki hum tera bulana maanein aur rasoolo ki ghulami karein

📕 Paara 14,surah ibraheem,aayat 42-44

Yaani qayamat ke din har shakhs ek taktaki baandhe oopar ko dekhta hoga na palkein jhapkayega aur na kisi ko dekhega hosh bilkul gum hoga aur kaafiron ka to bura haal hoga,irshaad farmata hai

#KANZUL_IMAAN – Aur hum unhein qayamat ke din unke munh ke bal uthayenge andhe aur goonge aur bahre,unka thikana jahannam hai jab kabhi bujhne par aayegi to hum use aur bhadkayenge.ye unki saza hai ispar ki unhone hamari aayto se inkaar kiya aur bole kya jab hum haddiyan aur reza reza ho jayenge to kya sachmuch hum naye ban kar uthaye jayenge.aur kya wo nahin dekhte ki wo ALLAH jisne aasman aur zameen banaye wo un logon ki misl bana sakta hai

📕 Paara 15,surah bani israyil,aayat 97-99

Yaani duniya me kaafir aitraaz karte hain na ki jab hum markar sad gal chuke honge to kis tarah hamara hisaab hoga aur saza wa jaza milegi to maula farmata hai ki kya wo andhe hain nahin dekhte ki jisne itna bada aasman aur zameen bana di aur jisne pahli baar bagair surat ke insaan ko 1 paani ki boond se paida kar diya uske liye usi insaan ko dobara wajood me laana kaunsa mushkil kaam hai

#KANZUL_IMAAN – Aur hum aisa hi badla dete hain jo had se badhe aur apne rub ki aayto par imaan na laaye,aur beshak aakhirat ka azaab sab se sakht tar aur hameshgi ka hai

📕 Paara 16,surah taaha,aayat 127

#KANZUL_IMAAN – Phir kaise bachoge agar kufr karoge us din jo bachchon ko boodha kar dega

📕 Paara 29,surah muzammil,aayat 17

#KANZUL_IMAAN – Jis din kuchh munh unjiyale honge aur kuchh munh kaale to wo jinke munh kaale hue,kya tum imaan laakar kaafir hue to ab azaab chakho apne kufr ka badla.aur wo jinke munh ujiyale honge wo ALLAH ki rahmat me hain wo hamesha usme rahenge

📕 Paara 3,surah aale imran,aayat 106-107

Musalman khush wa khurram honge aur unki khushi unke chehre se saaf zaahir ho rahi hogi aur kaafiro ka ghum unke chehre ko siyaah kar dega aur unhein munh ke bal ghaseette hue maidane mahshar me laaya jayega,aur jab unse hisaab kitaab shuru hoga to unme baaz kaafir aise honge jo jhoot bolenge aur kahenge ki hum tujhpar imaan laaye namaze padhi roze rakhe hajj bhi kiye zakatein bhi di hai aur bhi neik kaam kiye hain to maula farmayega ki theek hai tujhpar gawaah pesh kiye jayenge ye apne dil me sochenge ki hum par yahan kaun gawahi dega tab fauran unke munh par taala lag jayega aur unke haath pair aankh kaan aur jism ke baaki aaza unki nafarmaniyan ginani shuru karenge,jab unka kachcha chittha khul jayega to ab doosra jhoot bolenge ki haan humse teri nafarmani huyi magar hum kya karte ki humko teri wahdaniyat ki daleel hi na mili aur kisi ne humko kuchh bataya samjhaya nahin tab unke saamne hazrat aadam alaihissalam se lekar huzoor sallallahu taala alaihi wasallam tak ke tamam ambiyaye kiram gawahi pesh karenge ki ai maula humne har ek tak teri wahdaniyat ki nishani pahunchayi magar ye log nafarman the aur aakhir tak inkaar karte rahe aur isi par inhe maut aayi,aur un nabiyon ki tasdeeq ummate muslima karegi ki beshak tere nabiyon ne tere ehkaam me se kuchh bhi aisa na tha jo hum tak na pahunchaya ho lekin ye kaafir nafarmani par ade rahe

📕 Bahare shariyat,hissa 1,safah 39
📕 Zalzalatus sa’at,safah 27

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm