Islamic Blog

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Sham e Burhaani, Shaikh-ul-Aqtaab.
****************
Aap ne Hazrat Sayyed Qutb-e-aalam Burhaan-ud-deen Abdullāh Bukhari rahmatullāhi alaihi se ta’aleem haasil ki.
****************
Aap ne Hazrat Sayyed Qutb e aalam Burhaan-ud-deen Abdullāh Bukhari rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ‘Suharwardi Jalaali’ silsila ke shaikh hain.
****************
Ek din aap ke Peer Hazrat Sayyed Qutb e aalam ne Aap ko yeh bashaarat sunaai ke ‘Tumhe yeh zimmedaari supurd ki jaati hai ke tum logo ko taariqi aur zulmat se nikaal kar Raah e raast dikhaao. Is azeem fareeze ko anjaam dene ke liye tum ek maqaam par sukoonat ikhtiyaar karo aur wahi par rushd o hidaayat karo.”
Sultaan Mahmood Begada ke zamaane me Peer o Murshid ke farmaan par Aap ne Ahmedabad me Bahauddeenpura me sukoonat ikhtiyaar ki. Aur logo ko ta’aleem farmaana shuru kiya.
Kuchh hi din me Aap ki baargaah me logo ki bheed rehne lagi.
Ek din ek jaeef shakhs ne shikaayat karte hue kaha ke “Sayyed Uṡmaan ke darwaaze par bahot majma hota hai jis ki wajah se logo ko apne ghar tak paani le jaane me bahot dushwaari hoti hai.” Jab Aap ne yeh baat suni to foran khade ho gaye aur farmaane lage ke “Humara kaam logo ko takleef pahunchaana nahi hai. Hum is liye nahi aaye ke logo ko takleef pahunchayen. Yeh humara saamaan hai. Is me se jise jo chaahiye le le.”
Phir Aap waha se tashreef le gaye aur dusre maqaam par qayaam kiya. Ye jagah ‘Uṡmaanpura’ naam se mash’hoor hai.
Yaha par Aap ne ek Masjid bhi ta’ameer farmaai.
****************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Aap ne Ahmedabad me jis jagah rehna shuru kiya waha na koi aabaadi thi na koi aamad o raft.
Ek din Hazrat nadi par wuzu farma rahe the. Ek Hindu ladka nadi se paani bharke le jaa raha tha. Aap ne us ladke se farmaaya ke “Thodi der ke liye apna bartan mujhe de do taaki main paani bharkar le jaau aur dobaara wuzu ke liye nadi par na aana pade aur mera waqt bache. Phir tumhara bartan waapas kar dunga.” Us ladke ne ba-khushi apna bartan aap ko de diya. Aap ne us bartan me paani bharke apne maqaam par le gaye aur waapas tashreef laakar us ladke ko woh bartan de diya.
Us ladke ne muta’ajjib hokar Aap se arz kiya ke “Aap aise ghane jangle me rehte hain jaha door door tak aabaadi nahi.” Yeh sunkar aap ne us se farmaaya “Sun, Yeh maqaam jaha par main rehta hu kuchh dino me aabaad ho jaayega.” Phir Aap ne us ladke se farmaaya “Tum bhi apne ghar waalo ke saath yaha rehne ke liye aa jaao.”
Woh ladka kehne laga “Hum ghareeb hain. Humare paas itni daulat nahi ke hum ek naya makaan ek nai jagah par bana saken aur us wiraan ilaaqe me kuchh hai bhi to nahi ke hum apni zarooriyaat puri kar saken.” Hazrat ne us ladke se farmaaya “Yeh tera bartan le jaa aur nadi par jaakar ise bhar le.” Us ne jab nadi me bartan daala to dekha ke nadi me paani ki jagah ashrafiya beh rahi hain. Woh bahot herat me pad gaya. Us ne ek lota bhar ke ashrafiya le li.
Woh ladka ashrafiya lekar Hazrat ki baargaah me haazir hua aur yeh waaqia sunaaya. Hazrat ne muskuraate hue farmaaya “In ashrafiyo ko ghar le jaa aur apne ghar waalo ke saath yaha aakar muqeem ho jaa.”
Is tarah waha aabaadi shuru ho gai. Aur ye ilaaqa ‘Uṡmaanpura’ kehlaata hai.
(2) Aap ke pote Hazrat Sayyed Aalam ki sagaai Hazrat Daawūd bin Khwaja Kaane Shakar Chishti ki ladki se tay hui.
Ek din aap ke khaadim ne Aap se arz kiya ke “Huzoor! Aap faqr o faaqa me zindagi guzaarte hain us ko badalna hoga. Kyun ki aap ki rishtedaari Hazrat Daawūd se hui hai aur woh saahib e daulat hain.”
Aap ne apne mureed se farmaaya ke “Mere liye mere Peer ki pairwi kaafi hai, kisi dusre ki pairwi ki zaroorat nahi hai.”
Is ke baad Aap apne Peer o murshid Hazrat Qutb-e-aalam rahmatullāhi alaihi ke mazaar shareef par haazir hue aur apni haalat arz ki.
Hazrat Qutb-e-aalam ne aalam e roohaaniyat me Aap se farmaaya ke “Uṡmaan! Na-Ummeed hone ki zaroorat nahi. Khush raho aur khushi me din guzaaro. Tum ko yeh maaloom hona chaahiye ke baargaah e Ilāhi se jitna humare saahabzaade Shaah e aalam ko mila hai utna hi hum ne tum ko bhi dilaaya hai.”
Yeh bashaarat sunkar Aap apni qayaam-gaah ki taraf rawaana hue. Apne us khaadim ko bulaaya aur farmaaya ke “Fikr ki koi zaroorat nahi. Aaj se yeh tareeqa ikhtiyaar karo ke jitne kharch ki zaroorat ho utna Saabarmati nadi ke kinaare jaakar mitti khodkar le liya karo.”
Chunaanche khaadim ne is par amal karna shuru kiya aur rozaana Saabarmati nadi ke kinaare jaata aur mitti khodne par hasbe zaroorat ashrafiya nikaalkar le aata. Arse tak Hazrat ke khaandaan waalo ka guzaara isi tarah hota raha.
(3) Ek martaba Aap ne apna Asaa mubarak (laathi) ke upar ka lohe ka hisaa theek karaane ke liye Luhaar ke paas bheja. Luhaar asaa theek kar raha tha ke itne me ek Jogi ek lota lekar waha aaya aur luhaar se apna lota theek karne ko kaha. Luhaar ne kaha ke “Yeh lakdi theek karke lota theek karunga.” Jogi na maana aur bahes karne laga.
Hazrat ko yeh baat kashf ke zariye maaloom hui. Aap foran us luhaar ke waha tashreef laaye aur jogi ko samjhaane lage. Baato baato me Kimiye ka zikr aa gaya.
Jogi kehne laga “Hazrat mere paas Kimiya [sona banaane ka nuskha] hai. Agar aap mere saath chale to me aap ko bahot saara khazaana dunga.” Aap muskuraye aur Luhaar se farmaaya “Tere paas jitne auzaar hain wo sab mere saamne rakh.” Us ne aisa hi kiya.
Hazrat ne un auzaar par thodi si mitti daal di. Kuchh der me wo lohe ke auzaar sone ke ban gaye. Waha maujood sab logo ko bada ta’ajjub hua. Aur woh Jogi bahot sharminda hua.
****************
Aap ki likhi hui kitaab ‘Madaarij-ul-Maarij’ mash’hoor hai.
****************
Aap ka wisaal 15 Jamaadi-ul-Awwal 936 Hijri (January 1530 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Usmanpura, Ahmedabad (Gujarat) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazart Sham e Burhaani Sayyed Uṡmaan Mash’hadi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)