Islamic Blog

Hazraat Ambiya E kiram Alaihimussalam se Qabl Ailaan e Nubuwwat jo khilaaf e Aadat aur Aql ko hairat me daalne wale waqiyaat saadir hote hai un ko shariyat ki istelaah me “IRHAAS” kaihte hai , aur Ailaan e Nubuwwat ke baad un hi ko “MUJIZA” kaha jata hai . is liye wo tamaam waqiyaat jo Huzoor e Akram sallAllahu Ta’ala Alaihi wasallam ke Ailaan e Nubuwwat karne se se qabl zaahir hue jin ko hum ne “BARKAAT E NUBUWWAT” ke unwaan se bayaan kiya hai , is qism ke waqiyaat jo “IRHAAS” kehlate hai un ki tadaad bhut ziyada hai un me se chand ka zikr ho chuka chand dusre waqiyaat bhi padh le .

1(Muhaddis Abu Nuaim ne Apni kitab “DALA,IL-AL-NUBUWWAT”me Hazrat Abdullah bin Abbas Radi Allahu Ta’ala Anhuma ki Riwayat se ye Hadees bayaan ki hai ke jis Raat Huzoor e Akram sallAllahu Ta’ala Alaihi wasallam ka Noor e Nubuwwat Hazrat Abdullah ki Pusht e Aqdas se Hazrat Aamina ke Batn e Muqaddas me Muntaqil hua Ruye zameen ke tamaam chupaayo khususan Quresh ke Jaanwaro ko ALLAH TA’ALA ne goyai Ata farmayi aur unhone bazubaan e faseeh Aelaan kiya ke Aaj ALLAH ka wo Muqaddas Rasool shikam e Maadar me Jalwa gar ho gaya , jis ke sar par tamaam Duniya ki imamat ka taaj hai , aur jo sare Aalam ko Roshan kar ne wala chiraagh hai .Mashriq ke jaanwaron ne Maghrib ke jaanwaro ko basharat di .

Isi tarah Samandaro aur Daryaon ke Jaanwaro ne 1 dusre ko ye khush,khabri sunayi ke Hazrat Abul Qasim SallAllahu Ta’ala Alaihi Wasallam ki wiladat e ba sa,aadat ka waqt Qareeb Aa gaya .

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm