Islamic Blog

HADEES
********
Hazrat-A-Abdullah Bin Shaddaad Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Se Marwi Hain Ki
Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Logon Ko Namaz Padha Rahe The Ki
Achanak Hazrat-A-Imaam Hussain Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu (Aap Jab Chote
Bacche The) Sazde Ki Halat May Aap SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki
Gardhan Per Sawaar Hogaye! Aapne Sazda Taweel (Lamba) Kerdiya, Logon Ne
Samjha Shayed Koi Baat Hogayi Hain, Jab Aapne Namaz Puri Kerli To Sahaba Ne
Arz Kiya, Ya Rasoolallah! Aapne Bahoat Taweel Sazda Kiya, Yahan Tak Ki Ham
Samjhe Koi Baat Wakay Hogayi Hain! Aapne Farmaya Mera Beta Mujhper Sawaar
Hogaya To Maine Jaldi Karna Munasib Na Samjha Taaki Wo Apni Khushi (Haajat)
Puri Kerlen!

(Mukashfatul Kulub, Pg-494)

*****************************
SABAK
*******
Is Hadees May Kayi Fawayid Hain, Ek Yeh Ki Jabtak Aadmi Sazde May Rehta
Hain Use ALLAH-TA’AALA Ka Qurb Haasil Rehta Hain!
Is Hadees Se Aulaad Se Narmi Aur Bhalayi Aur Ummat Ki Taalim, Sab Baatain
Saabit Hoti Hain!
*****************************

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm