Islamic Blog

“Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Se Suna Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Farmate :
Sun Lo !
Tum Se Har Aik Nigara’n Hai Aur Har Aik Se Us Kee Raeeyyat Ke Mut’alliq Sawaal Kiya Jaayega.
Hukmara’n Nigara’n Hai Aur Us Se Us Kee Riaaya Ke Mut’alliq Sawaal Kiya Jayega.
Aadami Apne Ghar-Baar Ka Nigara’n Hai Aur Us Se Us Kee Riaaya (Ya’ni Ghar Waalon) Ke Mut’alliq Sawaal Kiya Jaayega.
Aurat Apne Shauhar Ke Ghar Kee Nigara’n Hai Aur Us Se Us Kee Riaaya (Shauhar Ke Ghar) Ke Mut’alliq Sawaal Kiya Jayega.
Naukar Apne Maalik Ke Maal Ka Nigara’n Hai Us Se Us Kee Riaaya Ke Mut’alliq Sawaal Kiya Jaayega.
(Raawi Kahte Hai Mere Khayaal Me Yah Bhi Farmaya Ki ) Aadami Apne Baap Ke Maal Ka Nigara’n Hai Aur Us Se Us Kee Riaaya Ke Mut’alliq Sawaal Kiya Jayega Aur Tum Se Har Aik Nigara’n Hai Aur Har Aik Se Us Kee Riaaya Ke Mut’alliq Sawaal Kiya Jaayega.”
Muttafaque Alayh

[Bukhari As-Sahih,01/304, Raqam-853, &
02/848, Raqam-2278, & 02/901, Raqam-2416, &
02/906, Raqam-2419, &
05/1988, Raqam-4892, &
05/1996, Raqam-4904, &
06/2611, Raqam-6719,
Muslim As-Sahih, 03/1459, Raqam-1829,
Tirmidhi As-Sunan, 04/208, Raqam-1705,
وقال أبوعيسى : حديث ابن عمر حديث حسن صحيح،
Aboo Dawood As-Sunan,03/130, Raqam-2928,
Nasa’i As-Sunan-ul-Kubra, 05/374, Raqam-9173,
Bukhari Al-Adab-ul-Mufrad, 01/81, 84, Raqam-206, 212, 214,
Al-Minhaj-us-Sawi, Safa-798, 799, Raqam-921.]

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm