Islamic Blog

Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu

*** Bismillah hir-Rahman nir-Raheem ***

Hazrat Abdullah Ibn Abbas Radi Allahu Anhu Farmate Hai,
Koi Cheez Roze Ki Halat Me Chak Ne Par Kuch Gunaah Nahi, Jab Tak Ke Wo Halaq Me Na Jaane Paaye.
(Sunan Baihaqi, Hadees 4/261)

Surma Laga Ne Se Roza Nahi Toot Tha.▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
Imaam Bukhari Radi Allahu Anhu Kehte Hai Anas Ibn Malik Radi Allahu Anhu, Hasan Basri Radi Allahu Anhu Aur Ibrahim Nakhi Radi Allahu Anhu Ne Roze Ki Halat Me Surma Laga Ne Par Koi harahat Nahi Samji.
( Sahih Al Bukhari, 451)

Roze Ki Halat Me Sar Par Paani Daalna Ya Paani Nahaa Ne Se Roza Nahi Toot Tha.▬▬▬▬
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Roze Ki Halat Me Pyaas Ya Garmi Ki Wajah Se Apne Sar Par Paani Daala Karte Te.
(Sunan Abu Dawood Hadees 2365)

(Kuch Log Kehte Hai Ke Roze Ki Halat Me Paani Nahi Nahana Chahiye,
Ye Be-Bunyad Baat Hai.)

Bhul se Kha Pi lene se Roza Nahi toot ta▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

▬Hazrath Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya”
Jab koi Bhul gaya aur Kha liya aur Pi liya to usey chahiye ki Apna Roza Pura karey kyunki usey Allah Taala ne Khilaya aur Pilaya “.
(Sahih Bukhari, Vol 3, 1933)

Roze Ki Halat Me Apni Biwi Ko Bosa Dene se Roza Nahi toot ta▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

▬▬Ummul Momineen Hazrat Ayesha Radi Allahu Anhu Farmati Hai,
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Roze Ki Halat Me Apni Biwiyo Ko Bosa Dete Lekin Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ko Aam Insano Se Zyada Apne-Aap Par Qabu Pane Ki Taqat Thi.(Sahih Al Bukhari, Hadees 1927)

Abdullah Ibn Amr Ibn Aas Radi Allahu Anhu Bayan Karte Hai,
Hum Ek Martaba Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Saath Te Toh Ek Nawjawan Aaya Aur Kaha Ke Kya Mai Roze Ki Halat Me Apni Biwi Ko Bosa De Sakta Hu?

Toh Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Nahi?

Phir Ek Budha Aadmi Aaya Aur Kaha Ke Kya Mai Roze Ki Halat Me Apni Biwi Ko Bosa De Sakta Hu?

Toh Aap ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ne Farmaya: Han

Abdullah Ibn Amr Kehte Hai: Hum Ek Doosre Ki Taraf Dekh Ne Lage, Utne Me Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ne Farmaya: Budha Aadmi Apne-Aap Par Qabu Paa Sakta Hai.
(Musnad Ahmad, Hadees 2/581)

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm