Islamic Blog

Hazrat Abu Saeed Khudri Rad=zi Allahu Taala Anho

Riwayat Kartey Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram (صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم) Se Daryaft Kiya Gaya Ya RasoolAllah
(صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم)

Koun Se Log Qayamat Ke Din Allah Ta’ala Ke Yaha’n Darje Me Afzal Honge?’

Aap (صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم) Ne Farmaya:

“Jo Kasrat Se Allah Ta’ala Ka Zikr Karney Waaley Mard Aur Auratein Hain.”

Maine Arz Kiya

KYa RasoolAllah (صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم)
Kya Allah Ta’ala Kee Raah Me Jihaad Karney Waaley Se Bhi (Zyada Afzal Honge)?

Aap (صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم) Ne Farmaya:

(Ha’n) Agar Koi Shakhs Apni Talwaar Kafiron Aur Mushrikon Par Is Qadr Chalaaye Ki Woh Toot Jaaye Aur Khoon Aalood Ho Jaaye Phir Bhi Allah Ta’ala Ka Zikr Karney Waaley Darje Me Uss Se Ek Darja Afzal Hain.

References:
[Tirmidhi As-Sunan, 05/458, Raqam-3376,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 03/75, Raqam-11738,
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 01/419, Raqam-589,
Aboo Ya’la Al-Musnad, 02/530, Raqam-1401,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 02/254, Raqam-2296,
Al-Minhaj-us-Sawi, Safah-435, Raqam-473.]

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm