Hazrat Anas Radi-Allahu-Ta’ala-Anhu Farmate Hain Ki Ek Isayi Musalman Hua Usne Sur-A-Bakr Aur Sur-A-Aale-Imraan Padhli Fir Wo Nabi-A-Karim SALLALLAHU-TA’ALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Bargah May WAHI Ki Kitaabat Karne Laga, Iske Baad Wo Isayi Hogaya Aur Kehta Tha Ki Mohammad Wahi Jaante Hain Jo Maine Likh Diya Hai! Fir ALLAH-TA’ALA Ne Isko Maut De Di Aur Logon Ne Ise Dafn Kerdiya, Agle Din Uski Laash Zameen Per Padi Mili, Kehne Lage Ye Mohammad Aur Unke Sathiyon Ne Kiya Hoga Kyonki Yeh Unke Paas Se Bhaag Kar Aagaya Tha! Isliye In Logon Ne Hamare Aadmi Ki Qabar Khod Daali!
Dusre Din In Logon Ne Iske Liye Aur Gehri Qabr Khodhi Lekin Wo Agle Din Zameen Per Pada Mila, Kehne Lage Yeh Mohammad Aur Inke Sathiyon Ka Kaam Hain Kyonki Ye Inke Paas Se Bhag Aaya Tha!
Tisre Din In Logon Ne Iske Liye Jitni Unke Bas Ki Baat Thi, Utni Gehri Qabar Khodhi! Subah Hui To Fir Dekha Laash Baaher Padi Hain! Ab Wo Log Samajhe Ki Yeh Insaano Ka Kaam Nahi Hain (Yani Yeh Sab Kuch Gaib Se Ho Raha Hain) To Ise Wahin Pade Rehne Diya!
(Bukhari Jild-1, Bab Al Matin-Nubuwat Pg-511)
********************************
TASHRIH:-
**********
Is Hadees Ka Khulasa Yeh Hain Ki Gustakh-A-Rasool Ko Har Shai Pehchanti Aur Isse Nafrat Karti Hain, Zameen Ne Bhi Is Be-Adab Ko Qabool Na Kiya Aur Bar-Bar Dafnane Ke Bawajood Wo Ise Bahar Nikal Kar Phenk Deti Thi!
- Shab E Barat Kya Hai - 5th March 2022
- Health Tips Hindi - 4th January 2021
- Ramadan Hadith - 4th January 2021