Bismillah-Hirrahman-Nirrahim
Hadith:
Sab logon se ziyada mujh par Abu Bakr Radi-Allahu-Anhu ka ehsan hai
————————–
Al Quran :
Agar tum unki ( Rasoollallah ki) madad nahi karogey to Allah unka Madadgar hai (wo waqt yaad karo) jab unko kafiron ne ghar se nikal diya (us waqt) do mein (ek Abu Bakr they) aur Dusrey ( khud Rasoollallah they) jab wo dono Gaar mein they us waqt wo (Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam) apney rafeeq ko tasalli detey they ki Gam na karo Allah hamarey saath hai
{Al Quran, At-Taubah, Chapter#9, Verse #40}
Abu Said Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya sab logon se ziyada mujh par Abu Bakr Radi-Allahu-Anhu ka ehsan hai Maal ka bhi aur Sohabat (saath deney) ka bhi aur agar main kisi ko khaleel banata to Abu Bakr ko khaleel banata
{Sahih Muslim, Vol6, 6170}
Jubair b. Mut’im Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki ek aurat ne Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam se kuch pucha Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya phir Aana (yani baad mein aana) wo boli Ya Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam agar main phir aau aur aapko na pauu to ? to Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya agar tu mujhe na paye to Abu bakr (Radi-Allahu-Anhu) ke pass jana.
{Sahih Muslim, Vol 6, 6179}————————————
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022