Introduction <3
Hazrat-E-Ali Ka Mukhtasar
Ta’aruf:
“Khalifaye CharuM,
JaNashine Rasool,
Jozaye Batul
Hazrate Saiyaduna
Ali Bin Abi Talib
KaraMAllaho Ta’ala Wajhul KariM
Ki Qunyat
“Aabul Hasan” Aur “Abu Turaab”
Hai,
Aap Sallallahu Alahi WasallaM Ke
Chacha Abu Talib Ke Farzande
Arzumand Hai,
AaMul Fil Ke 30 Saal Baad
(Jab
Huzur Sallallahu Alahi WasallaM
Ki UMar 30 Baras Thi)
13 Rajab Murajab Baroz JuMatul
Mubarak Khana Kaba Sharif Ke
Andar Paida Huye”
“Aap Ki Walidaye Majida Ka NaaM
Hazrate Saiyadtuna
Fatima Binte Asad RadiAllaho Anha
Hai,
Aap 10 Saal Ki UMar Me Hi Dairaye
IslaM Me Dakhil Ho Gaye The,
Tajdare Madina
Sallallahu Alahi WasallaM
Ke Zere Tarbiyat Rahe Aur
Ta-DaMe Hayat
Sallallahu Alahi WasallaM
Ki IMdad Wa Nusrat Aur
Deen-E-IslaM Ki HiMayat Me
Masrufe AMal Rahe”
“17 Ya 19 RaMzanul Mubarak
Ko Ek Khabis Kharizi Ke Qatilana
HaMle Se Shadid ZakhMi Ho Gaye
Aur 21RaMzanul Sharif Me Yak
ShaMba (Etwar/Sunday) Ki Raat
JaMe Shahadat Nosh FarMa Gaye”
<3 Aliyyul Murtuza Shere Khuda Hai
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017