Islamic Blog

HADEES:-
**********
Hazrat Imran Bin Haseen Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Se Marwi Hain, Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Mujhse Husn-A-Jan (Accha Gumaan) Rakhte The!
Ek Martaba Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Farmaya, Aye Imran! Tumahra Mere Nazdiq Ek Khaas Makaam Hain, Kya Tum Meri Beti Fatima Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Ki Aayadat Ko Chaloge? Maine Kaha Mere Maa-Baap Aap Per Qurbaan, Zaroor Chaluga!
Chunanche, Ham Rawana Hogaye Aur Hazrat Fatima Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Ke Darwaze Per Pahuche, Aapne Darwaza Khat-Khataya Aur Salam Ke Baad Ander Aane Ki Ijazat Talab Farmayi, Hazrat Fatima Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Ne Farmaya Tashrif Layiye, Aapne Farmaya Mere Sath Ek Aur Shaks Bhi Hain! Pucha Gaya, Huzoor! Dusra Kaun Hain? Aapne Farmaya, Imran! Hazrat Fatima Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Boli, Rabbe Juljalaal Ki Kasam Jisne Aapko Haq Ke Sath Mab-ous Farmaya, Main Sirf Ek Chader Se Tamaam Jism Chupaye Hue Hoon! Aapne Dast-A-Aqdas Ke Ishare Se Farmaya, Tum Aise-Aise Parda Karlo, UnHADEES:-
**********
Hazrat Imran Bin Haseen Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Se Marwi Hain, Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Mujhse Husn-A-Jan (Accha Gumaan) Rakhte The!
Ek Martaba Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Farmaya, Aye Imran! Tumahra Mere Nazdiq Ek Khaas Makaam Hain, Kya Tum Meri Beti Fatima Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Ki Aayadat Ko Chaloge? Maine Kaha Mere Maa-Baap Aap Per Qurbaan, Zaroor Chaluga!
Chunanche, Ham Rawana Hogaye Aur Hazrat Fatima Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Ke Darwaze Per Pahuche, Aapne Darwaza Khat-Khataya Aur Salam Ke Baad Ander Aane Ki Ijazat Talab Farmayi, Hazrat Fatima Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Ne Farmaya Tashrif Layiye, Aapne Farmaya Mere Sath Ek Aur Shaks Bhi Hain! Pucha Gaya, Huzoor! Dusra Kaun Hain? Aapne Farmaya, Imran! Hazrat Fatima Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Boli, Rabbe Juljalaal Ki Kasam Jisne Aapko Haq Ke Sath Mab-ous Farmaya, Main Sirf Ek Chader Se Tamaam Jism Chupaye Hue Hoon! Aapne Dast-A-Aqdas Ke Ishare Se Farmaya, Tum Aise-Aise Parda Karlo, Unohne Arz Kiya Is Tarah Mera Jism To Dhak Jata Hain Magar Sir Nahi Chupta, Aapne Unki Taraf Ek Purani Chader Fhenki Aur Farmaya, Tum Isse Sir Dhaanp Lo! Uske Baad Aap Ghar May Dakhil Hue Aur Salam Ke Baad Pucha, Beti Kaisi Ho? Hazrat Fatima Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Ne Arz Kiya, Huzoor! Mujhe Dohri Taklif Hain, Ek Bimari Ki Taklif Aur Dusre Bhook Ki Taklif! Mere Paas Aisi Koi Chiz Nahi Hain Jise Khaker Bhook Mita Sakoon! Rasoolallah SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Yeh Sunker Ashkbaar Hogaye Aur Farmaya, Beti! Ghabrao Nahi, Rab Ki Kasam Mera Khuda Ke Yahan Tumse Zyada Martaba Hain, Magar Maine 3 Din Se Kuch Nahi Khaya Hain Agar Main ALLAH-TA’AALA Se Maangu Tu Mujhe Zaroor Khilaye Magar Maine Duniya Per Aakhirat Ko Tarji Di Hain! Fir Aapne Hazrat Fatima Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Ke Kandhe Per Hath Rakhker Farmaya, Khush Hojao Tum Jannati Auraton Ki Sardar Ho! Unohne Pucha Hazrat-A-Aasiya Aur Mariyam Kahan Hogi? Aapne Farmaya, Aasiya Apne Zamane Ki Auraton Ki Aur Tum Apne Zamane Ki Auraton Ki Sardar Ho! Tum Jannat Ke Aise Mehlon May Rahogi Jis May Koi Aib, Koi Dukh Aur Koi Taklif Nahi Hogi!
(Mukashfatul Kulub, Pg-228)ohne Arz Kiya Is Tarah Mera Jism To Dhak Jata Hain Magar Sir Nahi Chupta, Aapne Unki Taraf Ek Purani Chader Fhenki Aur Farmaya, Tum Isse Sir Dhaanp Lo! Uske Baad Aap Ghar May Dakhil Hue Aur Salam Ke Baad Pucha, Beti Kaisi Ho? Hazrat Fatima Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Ne Arz Kiya, Huzoor! Mujhe Dohri Taklif Hain, Ek Bimari Ki Taklif Aur Dusre Bhook Ki Taklif! Mere Paas Aisi Koi Chiz Nahi Hain Jise Khaker Bhook Mita Sakoon! Rasoolallah SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Yeh Sunker Ashkbaar Hogaye Aur Farmaya, Beti! Ghabrao Nahi, Rab Ki Kasam Mera Khuda Ke Yahan Tumse Zyada Martaba Hain, Magar Maine 3 Din Se Kuch Nahi Khaya Hain Agar Main ALLAH-TA’AALA Se Maangu Tu Mujhe Zaroor Khilaye Magar Maine Duniya Per Aakhirat Ko Tarji Di Hain! Fir Aapne Hazrat Fatima Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Ke Kandhe Per Hath Rakhker Farmaya, Khush Hojao Tum Jannati Auraton Ki Sardar Ho! Unohne Pucha Hazrat-A-Aasiya Aur Mariyam Kahan Hogi? Aapne Farmaya, Aasiya Apne Zamane Ki Auraton Ki Aur Tum Apne Zamane Ki Auraton Ki Sardar Ho! Tum Jannat Ke Aise Mehlon May Rahogi Jis May Koi Aib, Koi Dukh Aur Koi Taklif Nahi Hogi!
(Mukashfatul Kulub, Pg-228)

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm