Islamic Blog

BISMILLAH HIR RAHEMANIR RAHIM

HAZRAT IBRAHIM ALAIHE AS SALAM

Aziz Dosto ,… Hazrat Ibrahim Alaihe As Salam Hi Woh Waahid ( Akeli ) Hasti Hai Jin Ke Zariye ALLAH TA – ALA Ne Boot Parssti Aur Sutaara Parasti Jaise Fitno Ka Khatma ( Raddh )Farmaya . Aur Iss Gumrahi Ki Jadh’he Kaat Di Aur Innhe Jhutha ( Batil ) Thhaheraya . ALLAH TA – ALA Ne Bachpan Se Hazrat Ibrahim Alaihe As Salam Ki Danaayee ( Sochne Samajhne Ki Sahi Kuwat Ya Taaqat ) At’aa Kar Di Thi . Aur Jab Hazrat Ibrahim Alaihe As Salam Jawaan Huve Toh Aap Ko Risaalat ( Naboowat ) Ke Mansab Par Faayez Kiya Ya Risaalat Ka Mansab ( Ohda ) At’aa Farmaya Kar Apna Khalil ( Dost ) Ban Ne Ka Sharf At’aa Farmaya .

ALLAH TA – ALA IRSHAAD FARMATA HAI

TARJUMAA :”Aur Yaqinan Ham ne At’aa Farmayee Thi Ibrahim Ko Inn Ki Danaayee Iss Se Pahele , Aur Ham ! Inn Ko Khoob Jaante The .”( Yaani Ki Woh Iss Muqaam Aur Martabe Ke Laayeq The )

Hazrat Ibrahim Alaihe As Salam Ka Ziqr Karte Huve ALLAH TA – ALA Qur’an Majeed Me Irshad Farmata Hai

TARJUMAA :”Aur Ibrahim Ko Yaad Karo , Jab Aap Ne Farmaya Apni Qaum Ko Ibaadat Karo ALLAH TA – ALA Ki Aur Uss Se Darrte Raha Karo Ye Hi Tumhare Liye Behter Hai Agar Tum Jaante Ho , Tum Toh Pooja Karte Ho ALLAH TA – ALA Ko Chhodh Kar Booto ( Murtiyo ) Ki , Aur Tum Ghadhhaa Karte Ho Jhuthh . Beshaq Jin Ko Tum Poojte Ho ALLAH TA – ALA Ko Chhodh Kar Woh Malik Nahi Tumhare Rizq Ke , Toh Talab Karo ALLAH TA – ALA Se Rizq Ko , Aur Uss Ki Ibaadat Kiya Karo Aur Uss Ka Shuqr Adaa Kiya Karo , Usi Ki Taraf Tum Lautaaye Javoge .

Aur Agar Tum Jhuthhlate Ho To Jhuthhlaya ( Apne Nabiyo Ko ) Inn Ummato Ne Bhi Jo Tum Se Pahele Thi , Aur Rasoolo Par Farz Nahi Bazaz ( Siwaaye ) Iss Ke Ki Woh ( ALLAH Ka Huqum ) Saaf Taur Par Pahoocha De , Kya Inhone Ne Kabhi Nahi Dekha Ki Kis Tarha ALLAH TA – ALA Aagaaz ( Shuruwat ) Farmata Hai Paidaah Karne Ka Fir WOH Kis Tarhaa Aa’aadah ( Muqammal ) Karta Hai . Bilaa – subaah Ye Baat ALLAH TA – ALA Ke Liye Bahut Aasaan Hai .

Farmayeeye Sair – O – Siyaahat ( Ghoomna Firna ) Karo Zameen Me Aur Gaur Se Dekho Ki Kis Tarha Iss Ne Khalq Ki Ibtidaa Farmayee , Fir ALLAH TA – ALA Paidaah Framayega Dusri Baar , Beshaq ALLAH TA – ALA Har Cheez Par Puri Qudrat Rakhta Hai . Sazaa Deta Hai Jise Chaheta Hai Aur Rahem Karta Hai Jsi Par Chaheta Hai . Aur Isi Ki Tarfa Tum Fere ( Lautaye ) Javoge , Aur Nahi Ho Tum Bebas ( Aa’aziz ) Karne Wale ( ALLAH TA – ALA Ko ) Zameen Me ( Bhaag kar ) Aur Na Aasmaan Me ( Panaah Le Kar ) , Aur Nahi Hai Tumhare Liye ALLAH TA – ALA Ke Siwaa Koi Dost Aur Madadgaar .

Aur Jin Logo Ne Inqaar Kiya ALLAH TA – ALA Ki Aayat Ka Aur Iss Ki Mulaaqat Ka Woh Log Mayoos Ho Gaye Hai Meri Rahemat Se , Aur Ye Hi Log Hai Jin Ke Liye Azaab Aleem ( Dardnaak ) Hai . Aap Ki Qaum Se Koi Jawaab Na Ban Paya Bazaz ( Bajaaye ) Iss Ke Ki Innhone Kaha Ise ( Hazrat Ibrahim Alaihe As Salam Ko ) Qatal Kar Dalo Ya Ise Jalaa Do , Toh Bacha Liya Ise ALLAH TA – ALA Ne Aag Se .

Beshaq Iss Waqeye ( Qisse ) Me Nishaani Hai Inn Logo Le Liye Jo Imaan Laye Hai , Aur Hazrat Ibrahim Alaihe As Salam Ne Kaha Ki Tum Ne Bana Liya Hai ALLAH TA – ALA Ko Chhodh Kar Booto Ko Baahmi Mohabbat ( Aur Pyaar ) Ka Zariya Iss Duniyavi Zindagi Me . Fir Qayaamat Ke Din Tum Inqaar Karoge Eik Dusre Ka , Aur Fattqaar ( Laanat ) Bhejoge Eik Dusre Par Aur Tumhara Thhikana Aatish ( Jehannum ) Hoga . Aur Nahi Hoga Koi Tumhara Madadgar . Toh Imaan Le Aaye Inn Par Hazrat Looth ( Alaihe As Salam ) . Aur Ibarahim Ne Kaha”Main ! Hijrat Karne Wala Hu Apne RAB Ki Taraf , Beshaq Woh Hi Sab Par Gaalib Aur Bada Daata ( Dene wala ) Hai .

Aur HAM Ne At’aa Farmaya Aap Ko Is’haq ( Jaisa Beta ) Aur Yaqoob ( Jaisa Potaa ) , Aur Ham Ne Rakh Di Inn Ki Aulaad Me Naboowat Aur Kitaab Aur Ham Ne Diya Inn Ko Inn Ka Azar Iss Duniya Me , Aur Bilaa – subaah Aakhirat Me Saalehin (Nek Logo Ke Zumre) Me Hoge .”

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm